Monday, December 21, 2015

12 Rabi ul Awal Wallpapers HD

Eid Milad Ul Nabi s.a.w.w. Wallpaper Free Download

12 Rabi ul Awal Wallpapers HD
eid milad ul nabi mubarak
Bandh Gai Teri Hawa Sawah Main Khak Udny Lagi

Badh Chali Teri Zeeya Aatish Pe Pani Phir Gaya

12 Rabi ul Awal Wallpapers HD
12 rabi ul awal poetry

Sarkar Ki Aamad Marhaba

Tamam Aalam e Islam Ko Eid Milad ul Nabi s.a.w.w Mubarak

12 Rabi ul Awal Wallpapers HD Free Download
Sarkar ki aamad
Assalawat o Wasalam o Aleaka Ya Rasool Allah s.a.w.w.

Eid Milad ul Nabi
jashn e eid milad ul nabi

Sunday, December 20, 2015

Prophet Muhammad s.a.w.w. Birthday

Prophet Muhammad s.a.w.w. Birth Day
Blue Mosque
'Mawlid' is Celebrated by Muslims during the month of Rabiulawal, the third month of the Muslim calendar.

As the Islamic calendar is based on lunar cycles, the date in the Gregorian calendar will vary each year. The Islamic Calendar is about 11 days shorter than the Gregorian calendar, meaning that in some years this holiday will occur twice.

Also known to Muslims in Malaysia as Maulud Nabi. This is purely a religious festival and is marked as a public holiday.

Prophet Muhammad (PBUH) was born on 12 Rabiulawal in 570 AD.

His birthday is celebrated with religious lectures and recitals of verses from the Koran.

The basic earliest accounts for the observance of Mawlid can be found in 8th century Mecca, when the house in which Prophet Muhammad (PBUH) was born was transformed into a place of prayer.

Though public celebrations of the birth of Muhammad (PBUH) did not occur until four centuries after his passing away. The oldest Mawlid-text is claimed to be from the 12th century and most likely being of Persian origin.

Pakistan
During Mawlid celebration, the national flag is hoisted on all public buildings, and a 31-gun salute in Islamabad and a 21-gun salute at the provincial headquarters are fired at dawn. Hundreds of thousands of people gather at Minar-e-Pakistan Lahore between the intervening night of 11th and 12th Rabi' al-awwal for Mawlid celebrations, this is the worlds biggest gathering for Mawlid celebrations.

India
In India, this holiday is observed in the following states: Andaman & Nicobar, Andhra Pradesh, Chhattisgarh, Delhi, Karnataka, Kerala, Madhya Pradesh, Maharashtra, Mizoram, Odisha, Puduchery, Tamil Nadu, Tripura, Uttarakhand, Uttar Pradesh.

� officeholidays

Thursday, December 17, 2015

Hazrat Suleman A.S Quotes In Urdu

Aqwal e Zareen Urdu - Hazrat Suleman A.S

  1. Kalam ki kasrat main kuch na kuch gunah ho ga, magar jo apne labon ko roke rehta hai, bada dana hai.
  2. Mulaim jawab ghuse ko kho deta hai, mager kharkht batain ghazab angaiz hain.
  3. Woh cheez jis ke liye ibadat bhi kaam nahi dati, os ka naam kiber hai.
  4. Sahib-e-feham per aik jhadki, ahmaq per 100 kodon se ziada asar karti hai.
  5. Dana apni danai ko chupata hai, lakin apni himakat ki ki manadi karta hai.
  6. Allah ki raah seedhe logon ke liye tawanai hai, aur badkirdaron ke liye halakat.
  7. Woh shaks jo apne gunahon ko chupata hai, kamyab na ho ga, mager jo gunah ka iqrar karta hai aur ise chod deta hai, es per rehmat ho gi.
  8. Ghagda sirf mazoori se peda hota hai, lakin aqal in ke saath haijo maslehat ko pasand karte hain.
  9. Bure naikon ki aur Shareer Rast bazon ki ata'at qabool nahi karte.
  10. Her aik mehnat main faidah hai lakin zabani jama kharch se muflasi aati hai.

Thursday, December 10, 2015

12th Rabi Ul Awal Wallpapers HD

EID MILAD UL NABI S.A.W.W. HIGH DEFINITION WALLPAPERS

FREE DOWNLOAD JASHN-E-EID MILAD U LNABI S.A.W.W. WALLPAPERS
Jashn-e-Eid Milad ul Nabi s.a.w.w.

12 Rabi ul Awal Wallpaper High Quality
Jashn-e-Eid Milad ul Nabi s.a.w.w.
MUNKIRAN-E-MAJLIS MILAD SE KEH DE KOI

MEHFIL E AQDAS MAIN AA KER DAIKH LAIN SHAN E RASOOL S.W.W.W
12 Rabi ul Awal Wallpaper High Definition
12th Rabi ul Awal Poetry

Saturday, November 14, 2015

Islamic History: The Life of Hazrat Umar Farooq R.A - Urdu

Hazrat Umar Farooq Bin Khattab RA ( Seeret-e-Tayaba)


Life of Hazrat Umar Farooq R.A in Urdu Language
Hazrat Umar Farooq r.a  � wikipedia

The Second Khalif ( ????? ????): Khalifa e Dom Hazrat Umar Farooq R.A Ka Shumar Ashra Mubashra Sahaba Karam Main Hota Hai, Ap r.a ashraf e Quraish apni zati aur khandani wajahat ke aitebar se mumtaz aur buland martaba hasiyat rakhte hain, Ap r.a Sarkar e Madinah s.a.w.we ke khusar hain, Ap r.a ki kunniyat Abu Hifaz, Laqab Farooq e Azam aur Ism Mubarak UMAR - R.A hai.

Line age (????? ???): Ap r.a ka silsalay nasab yeh hai. Umar bin Khattab bin Nufail bin Abdul aza'a bin Abdullah bin Qart bin Zarah bin Ad'i bin Ka'ab bin Lo'ee.

Athween (8th) pusht main Ap r.a ka silsalay nasab Rasool-e-Kareem s.a.w.w. say ja milta hai.

Ap r.a ki walidah majidah ka naam Hatmah bint e Hashim bin Mughairah hai.

Birth (????? ?? ?????): Ap r.a ki wiladat ba sa'adat hijri Nabvi se chalees(40) baras pehle yani waqia feel ke terah(13) baras baad huvi.

Death/Martyrdom (????): Madinah Munawarah main Mughairah bi Sha'aba ka aik nasrani ghulam abu lolo fairoz - L.A (majoosi) rehta tha, jo kh kafir hone ki waja se Sayeduna Ameer ul momineen r.a se bughaz rakhta tha,

aik roz budh (Wednesday) ke din Namaz e Fajar ke waqat Musalman Masjid e Nabvi main jama huwe to fairoz L.A bhi aik khanjar (Knife) liye huwe Masjid e Nabvi main dakhil ho gaya, jab Hazrat Umar r.a ne Namaz ki Imamat start ki, Fairoz L.A jo Musalmano ke sath pehli saf main khada tha nikal kar es ne Hazrat Umar Farooq r.a per Khanjer (knife) ke 6 War kiye,

Ap R.A ne foran Hazrat Abdur Rahman bin Awf r.a ko apni jaga par Imamat ke liye khada kar dia aur khud zakhmon ke sadme se behosh ho kar gir pade, Hazrat Abdur Rahman bin Awf r.a ne do(2) bht hi choti choti sooraton ke sath Namaz padhai.

Hazrat Umar R.A per hamla karne ke baad Fairoz L.A ne aur Namaziyon per bhi hamla kia, jinho ne is ko bhagte huwe pakadne ki koshish ki is ne 13 afrad ko zakhni kia jin main se 6 afrad bad main inteqal farma gaye, es waqat aikk Ansari Sahabi ne is per kamble (Blanket) daal dia aur woh os kamble main ulajh gaya es per os ne apne hi khanger se khud kushi kar li.

Reference: Seerah al Salheen

Friday, November 13, 2015

Islamic History: The Life of Hazrat Imam Hussain A.S

The Life of  Hazrat Imam Hussain Bin Ali Bin Abi Talib Radi llahu Anhu

Introduction: Imam Hussain a.s - Hazrat Ali Aur Hazrat Fatimah r.a kay doosry baty hain,Ap say Hazoor s.a.w.w ko br inteha muhabbat thi.Ap s.a.w.w imam hussain ko kandhon per uthaty aur honton per bosa daty.
Birth: Imam Hussain a.s ki wiladat Imam Hassan a.s say 11 mah bad 3 shu'ban 4 hijri ko Madinah main huvi.
Surname and Titles: kuniyat Abu Abdullah aur alqab yeh hain, Sayed,Shabeer,Asgher
Children's: Ali Bin Hussain(Imam Zain-ul-A'abideen) Ali Akbar, Ali Asgher, aur batiyon kay nam yeh hain Bibi Sakeena,Bibi Fatimah, Bibi Zainab
Prophert PBUH Sayings About Imam Hussain a.s:
 � Hassan aur Hussain a.s Jannat key jawanon kay sardar hain (Mashku'wah)
 � Hussain mujh say hy aur Me Hussain say hoon jo Hussain say muhabbat kary Allah os say muhabbat kary Hussain meri awlad ki awlad hai (Tirmizi)
 � dunya aur akhirat kay phool Hassan aur Hussain hain (Riyaz-ul-nasrah)

Imam Hussain a.s In The Reign of Khulafay-e-Rashideen:

 
Abu Bakar, Umar, Usman, Ali
Khulafay e Rshideen
� Reign of Abu Bakar Siddique R.A: 
jab pehli bar Hazrat Abu Bakar r.a nay Hussain a.s ko dekha to farmaya Beta to ALi r.a ka hai lakin Soorat Nabi Ki jesi hai. jab khalifah bany to herah ki fatah kay bad jo mal-e-ghanimat aya os main say aik besh baha qeemat chader Hussain a.s ko tuhfa ki unhon nay ba khooshi qabool ki.
 � Reign of Umar Farooq R.A: Ameer ul Momineen Umar Bin Khattab r.a nay hassan aur hussain a.s kay liye Badri Sahaba kay baraber 5,5 hazaar wazeefa muqarrar kiya, Hazrat Umar r.a nay maday'en ki fatoohat kay mal-e-ghanimat main aik larki (Shah Jahan) jo bad main Sher Bano khlai imam hussain a.s ko atiya main di jin say Imam Zain ul A'abideen r.a peda huway jin say iimam hussain a.s ki nasal chali.
 � Reign of Usman Bin Affan R.A: Imam hussain a.s ki baiti Bibi Fatimah ka nikah Usman r.a kay poty Abdullah bin Umro bin Usman bin Affan r.a kay sath huwa,
Waqiya-e-Karbala: Safr-e-Karbala Main 72 afrad shamil thay jin main say 21 Ahl-e-Bait Thay,Ahl-e-Koofa nay 12000 khatoot imam hussain a.s ko bhejy kh Ap yaha A jain hum Ap ki bait karain gay,pehly Ap say Muslim bin Aqeel r.a ko koofah bheja lakin un ko waha qatal(Sheed) kar diya gaya, phir imam hussain a.s apny Ahl-e-bait kay sath khud koofah tashreef lay gaye, Imam Hussain .as jab koofah pohnchy to 30,000 Iraqiyon nau Ap kay hath per bai't ki lakin agly hi rooz Bai't karny walon nay Ap per talwar khenchi aur yazeed ki afwaj say mil ker imam hussain a.s ko be dardi kay sath Damishq jany wale rasty per Qatal ( Sheed) kar diya. (Inna Lillah-e-Wa in Elaih e rajioon)

hazrat imam hussain a.s srine iraq
Imam Hussain a.s Dome
Attributes and perfections: Imam Hussain a.s nay khandan-e-Nabuwat main perwarish pai thi es liye Ma'adan Fazal o Kamal bann gaye thy,Akabire Madinah Mushkil massail main un say rajoo kiya karty thy, aik martaba Abdullah bin Zubair r.a nay Ap say poocha kh qaidi ko reha karny ka farz kis per A'aed hota hai to Ap nay farmaya os per jis ki khatir woh Lara. Ibadat un ka ma'amool tha, Farz namaz kay ilawa bht sary nawafil bhi ada karty thy, aik riwayat main ata hai kh imam hussain a.s nay 25 Hujj piyadah kiya.
livelihood: Hazrat Umar Bin Khattab r.a nay Ap kay liye 5000 wazeefah mahana muqarrar farmaya tha jo Usman bin Affan r.a ki khilafat main bhi chalta raha, jab Ameer Muviah r.a ki dor-e-khilafat aya to unho nay 2 lakh salana muqarrar kiya (Imam Hassan a.s ki dast bardari kay bad)
inspirational quotes:
 ? Jald bazi nadani hai
 ? Sila rehmi ni'amat hai
 ? Narmi aqal mandi hai
 ? Imdad dosti hai
 ? Achy kam karty raho magar dil say

References: Hussain Bin Ali R.A Book, Mashku'wah, Tirmizi, Riyaz-ul-nasrah
payamberislamic

Islamic History: The Life of Hazrat Ibn-e-Abi Aufa R.A

Companions of The Last Prophet Muhammad P.B.U.H (03) The Life of  Hazrat Ibn-e-Abi Aufa Radi Allahu Anhu

Name And Ancestry: Alqamah aur Abdullah nam, Abu Muaviah kuniyat, Ibn-e-Abi Aufa r.a kay naam say mashoor hain, nasab nama yeh hai, Alqamah bin khalid bin haris bin abi aseed bin rafa'a bin sa'alba bin hawazan bin aslam bin aqsa.

Islamic History Forays
Forays
Islam And Forays: Sulah Hudaibiyah kay qabal musharaf ba Islam huwe, Hudaibiyah main Hazoor s.a.w.w kay hum rikab thay, bait-e-Rizwan main sharf jan-nisari hasil kiya, hudaibiyah kay bad Ghawah-e-Khaiber huwa, sab say pehlay isi medan e jang main utray, phir hunnain main dad-e-shuja'at di, haton main kari zakham laga jis ka nishan muddat'ton baqi raha, fatah e Makah kay bad Hunnain main shareek huwe aur Islam ki Madafiyat main 7 Ladaion(Seven Fights) main in ki talwar be niyam huvi, aur is esar o qurbani kay sath kh ba'az ladaiyon main zindagi bachany kay liye sirf Tid'di (locust) kha kar basar karna pada.

Death: Hazrat Ibn e Abi Aufa r.a nay kafi Umar pai, Bani Umay-e-ah kay dor tak zindah rahay, akheer umar main a'ankhon say mazoor ho gaye thay, isi halat main 86 aur 88 sal kay darmiyan main wafat pai, yeh Ashab e Nabi s.a.w.w. main akhri buzurg thay, jinhon nay Koufa (Iraq) main inteql kiya.

Reference: Allah Kay Mujahid

Islamic History: The Life of Hazrat Abriha R.A

Companions of The Last Prophet Muhammad P.B.U.H (02) The Life of  Hazrat Abriha Radi Allahu Anhu

Name And Ancestry: Abreha r.a naam, sham ya habsha kay rehnay wale aur mazhaban esai thay , nam o nasab kay baray main aur koi tafseel kutab-e-rijal main nahi milti.

Islam: In kay qabool-e-Islam kay muta'aliq yeh to mutai-yen tor say nahi bataya ja sakta kh kab aur kaha qabool kiya, magar qarain say itna pata chalta hai kh jab bht say Sahaba Makkah say hijrat kar kay habsha gaye aur in ko nijashi kay darbar main darkhor hasil huwa, aur in kay zarye ahle-e-habsha ko Islam say waqif honay ka moqa mila to khud nijashi aur in kay sath bht say ulamay-e-Nsara nay Islam qabool kiya, ghaliban in hi Islam qabool karnay walon main Hazrat Abriha r.a aur in kay doosray rufaqa'a bhi thay.

Habsha to makkah
Hijrat Journey to Makkah
In The Serving of Prophet PBUH: Ahl-e-habsha main say jin logon nay Islam qabool kar liya tha, in kay dil main Rasool-e-Pak s.a.w.w ki ziyarat ka behad ishtiyaq tha, itifaq say isi darmiyan main Muhajreen-e-habsha Hazrat Ja'afar r.a kay sath Madinah wapis aye thay, isi qafilah kay sath Hazrat Abriha r.a bhi Madinah aye aur ziyarat-e-Nabvi s.a.w.w. say musharaf huwe.

Forays:  jab Ghazwa-e-Badar main musalmano ko fatah naseeb huvi aur is ki khabar habsha tak pohanchi to jo log habsha main Islam la chukay thay inhon nay Madinah ja kar Nabi Akram s.a.w.w. ki ziyarat karnay ki khuwahish nijashi say zahir ki, chunan'cha woh ijazat lay kar Madinah aye aur Ghazwah-e-Uhad main shirkat bhi ki, is main Hazrat Abriha r.a bhi thay.

Death: sun-e-wafat aur zindagi kay dosray halat maloom nahi ho sakay.

Reference: Allah Kay Mujahid

Thursday, November 12, 2015

Islamic History: The Life of Hazrat Abu Bardah bin Nyar R.A

Life of Hazrat Abu Bardah bin Nyar R.A

Line age (????? ???): Hani naam, Abhu barda kuniyat, Qabila Bali se hain, silsala nasab yeh hai, Hani bin Nayar bin Umro bin Ubaid bin Kalab bin Dahman bin Ghanam bin Zeeban bin Hameem bin Kahel bin Zahl bin Baly.

Islam (?????): Aqba' Sania main Musalman huwe.

Forays (?????): Badar, Ohad, khandaq aur tamam ghazawat main shirkat ki, Ghazwa e Ohad main Musalmano ke pass sirf do(2) Ghode(Horses) the, jin main aik Abu Bardah r.a ke pass tha, Fatah Makkah main Banu Harisa ka Alam in ke pass tha.

Ahd e Nabuwat ke bad Hazrat Ali r.a ki tamam Ladaion (Forays) main shareek rahe.

Death (????): Hazrat Ameer Muviah r.a ke zamana e Khilafat main 41 hijri main wafat pai. 


Reference: Allah Kay Mujahid

Islamic History: The Life of Hazrat Abu Ayub Ansari r.a




Islamic History: The Life of Hazrat Abu alhaisam r.a


Islamic History: The Life of Hazrat Abu alaas r.a


Islamic History: The Life of Hazrat Abu Darda r.a



Tuesday, October 20, 2015

Muharram 2015 Wallpapers HD

Best And Latest Wallpapers of Muharram 2015 in HD, Muharram 2015 HD Wallpapers Collection, Imam Hussain Shrine Wallpaper Muharram 2015, Good Collection of Muharram Wallpapers And Photos, Hussain Bin Ali Bin Talib RA, Karbala Wallpapers, Nice Muharram Back Ground Wallpaper For Desktop.Muharram 2015 HD Wallpapers Download.
HD Wallpaper For Muharram 2015
Muharram 2015
Best Muharram 2015 Wallpaper With Imam Hussain Shrine
Muharram 2015 hd Wallpaper
New Hd Wallpaper of Muharram 2015
Best HD Wallpaper of Muharram 2015


Monday, October 19, 2015

Importance of 10th Muharram (The Day of Aashura)

The Day of Aashura 

Islami saal ki ibtida Muharram say hoti hai, es maheeny ki dasween tareekh ko Ashura kehty hain, Nabi Kareem s.a.w.w es din Roza rakha kartay thay aur Aam Musalmano ko bhi Roza rakhnay ki targheeb datay thay.

10th Muharram Importance in Islam and The Day of Ashura
10 Muharram
Hazrat Ibn e Abbas r.a bayan kartay hain kh Nabi Kareem s.a.w.w hijrat kar kay Madinah pohanchay to Ap s.a.w.w ko pata chala kh yahoodi Aashura ka Roza rakhtay hain, App s.a.w.w nay es ka sabab pucha to unhon nay jawab diya ;yeh aik acha din hai, es din Allah nay bani israeel ko en kay dushman (Fir'on) say nijat di thi, es liye Hazrat Musa a.s nay es din Roza rakha tha' Nabi Kareem s.a.w.w nay farmaya, Me Musa a.s ka (Shareek e Mussarat o Shukar honay main) tum say Ziada haq rakhta hoon, Chun'cha App s.a.w.w nay es din Roza rakha aur Sahaba Karam r.a ko bhi es ka hukam diya.

Hazrat Ayesha r.a bayan karti hain kh jahliyat main qureash bhi Ashura ka Roza rakhtay thay, Rasool e Pak s.a.w.w bhi yeh naik amal kartay thay, App s.a.w.w kay Madinah aanay kay bad bhi yeh amal jari raha, Ramadan kay Rozon ki Farziyat kay baad App s.a.w.w nay es ko ikhtiyari amal qarar diya aur farmaya : jis ka jee chahy es din Roza rakhay aur jis ka jee chahay na rakhay.

Kuck Riwayat say sabit hota hai kh 9 aur 10 Muharram donon ka Roza rakhna bhi afzal hai.

10 Muharram ko Paish Aany Walay Waqiyat:

  1. Hazrat Adam a.s Ki Pedaish
  2. Hazrat Musa a.s Ka Fir'on Say Bani Israeel Ko Azad Karana.
  3. Waqiya e Karbala.
  4. Aur Qayamat bhi 10 Muharram ko Hi Ho Gi. 


Tuesday, October 13, 2015

Islamic History: The Life of Hazrat Abu Aseed Sa'adi R.A

Companions of The Last Prophet Muhammad P.B.U.H (04) The Life of  Hazrat IAbu Aseed Sa'adi Allahu Anhu

the Life of Hazrat Abu Aseed Sa'adi r.a
Hazrat Abu Aseed Sa'adi r.a
Name And Ancestry: Malik naam, abu aseed kunniyat, qabeela khazraj say hain, nasab naama yeh hai - Malik bin rabiya ibn e badan bin A'amir bin awf bin haris bin umro bin khazraj bin sa'ada bin ka'ab bin khazraj akbar.

Islam And Forays: Hijrat say qabal Islam laye, tamaam ghazwat main shirkat ki, ghazwa e Badar ki shirkat Sahih Bukhari main mazkoor hai, fatah Makkah main banu sa'ada ka jhanda in kay pass tha.

Death: 60 Hijri main Madinah main inteqal farmaya, Badara'een main woh sab say A'akhir main fout huway is waqat umar shareef 78 saal thi.

Sunday, October 11, 2015

Hazrat Umar Farooq R.A Inspirational Quotes In Urdu

Inspirational Quotes of Omar Bin Khattab R.A

  1. Ager sabar o shukar do sawariyan hoteen to me parwah na karta kh kis par sawar hoon.
  2. Jo shaks raaz chupata hai, is ka raaz is kay hath main hai.
  3. logon ki fikar main apni ta'en na bhool jao.
  4. Muhay sail kay sawal say is ki aqal ka andaza ho jata hai.
  5. Dunya thodi si lo, tab azadan basar kar sako gay.
  6. Aadmi kay namaz, roza par na jao, balkh is ki drust ma'amlagi aur aqal ko daikho.
  7. Ilm, aqal ki ziadati par mo'qoof nahi.
  8. Asha'ar arab, buland akhlaq, sihat lughat, aur insab ki taraf rehnumai kartay hain.
  9. Tauba ki takleef say gunah ka tark kar dena ziada sahal hai.
  10. Dolat sar ooncha kiye baghair nahi rehti.
  11. Jo shaks burai say A'agah nahi woh zaroor es main giraftar ho ga.
  12. Aj ka kam kal par na utha rakho.
  13. Jo cheez peechay hati phir A'agay nahi badhti.
  14. Kisi ki shuhrat awaza sun kar dhoka na khao.
  15. Hukoomat kay liye aesi shiddat ki zaroorat hai, jis main jabar na ho aur aesi narmi ki jis main susti na ho.
Jazzakallah Khair

Hazrat Umar Farooq RA Quotes
Hazrat Umar Bin Khattab R.A Quotes

Thursday, October 8, 2015

Tuesday, October 6, 2015

Islamic History: The Life of Hazrat Imam Hassan R.A

The Life of Hazrat Imam Hassan a.s - 01
Hazrat Imam Hassan r.a - 01
The Life of Hazrat Imam Hassan a.s - 02
Hazrat Imam Hassan r.a - 02 
The Life of Hazrat Imam Hassan a.s - 03
Hazrat Imam Hassan r.a - 03 
The Life of Hazrat Imam Hassan a.s - 04
Hazrat Imam Hassan r.a - 04 
The Life of Hazrat Imam Hassan a.s - 05
Hazrat Imam Hassan r.a - 05 
The Life of Hazrat Imam Hassan a.s - 06
Hazrat Imam Hassan r.a - 06 
The Life of Hazrat Imam Hassan a.s - 07
Hazrat Imam Hassan r.a - 07 
The Life of Hazrat Imam Hassan a.s - 08
Hazrat Imam Hassan r.a - 08 
The Life of Hazrat Imam Hassan a.s - 09
Hazrat Imam Hassan r.a - 09