Inspirational Quotes of Omar Bin Khattab R.A
- Ager sabar o shukar do sawariyan hoteen to me parwah na karta kh kis par sawar hoon.
- Jo shaks raaz chupata hai, is ka raaz is kay hath main hai.
- logon ki fikar main apni ta'en na bhool jao.
- Muhay sail kay sawal say is ki aqal ka andaza ho jata hai.
- Dunya thodi si lo, tab azadan basar kar sako gay.
- Aadmi kay namaz, roza par na jao, balkh is ki drust ma'amlagi aur aqal ko daikho.
- Ilm, aqal ki ziadati par mo'qoof nahi.
- Asha'ar arab, buland akhlaq, sihat lughat, aur insab ki taraf rehnumai kartay hain.
- Tauba ki takleef say gunah ka tark kar dena ziada sahal hai.
- Dolat sar ooncha kiye baghair nahi rehti.
- Jo shaks burai say A'agah nahi woh zaroor es main giraftar ho ga.
- Aj ka kam kal par na utha rakho.
- Jo cheez peechay hati phir A'agay nahi badhti.
- Kisi ki shuhrat awaza sun kar dhoka na khao.
- Hukoomat kay liye aesi shiddat ki zaroorat hai, jis main jabar na ho aur aesi narmi ki jis main susti na ho.
Jazzakallah Khair
Hazrat Umar Bin Khattab R.A Quotes |
No comments:
Post a Comment