Thursday, October 1, 2015

IslamicHistory: Hazrat Umar R.A Aur Aik Boodhi Shayrah

Madinah say door aik jhonpadi(Hut) thi jab wahan say charagh ki dheemi dheemi si roshni mehsoos huwi to Umar Farooq R.A es jhonpadi kay qareeb gaye to dekha kh aik budhia siyah rang kay kapday per bathi hai aur andhera cha raha hai' es charagh kay ba'wajood andhera ba'dastoor qaim hai aur woh ghamgeen halat main yeh shair pardh rahi ha:

Tarjuma(Translation of Pooetry)

"Muhammad s.a.w.w per naik logon ka darood ho' naik bargazeedah banday tujh per darood bhejain' beshak tu nigran aur waqat-e-sehar ronay wala tha'kaash! mujhy maloom hota aur Khudai faisaly muqarrar hain' kiyayum mujhe aur mere mehboob ko es ghar main jama kar do gay?;
the old hut picture
budhia ki yeh batain Hazrat Umar R.A per asar andaz huveen aur un ko guzra huwa zamana yaad aa gaya' phir zar o qatar ronay lagay aur es kay ghar ka darwaza khat'khataya, budhia nay poocha: kon hai? Hazrat Umar R.A nay farmaya(es waqat a'ah o baqa ka ghalba tha) me Umar Bin Khattab r.a hoon, khenay lagi: mujhay Umar r.a say kiya kaam! aur es waqat Umar r.a kiya lenay aya? Hazrat Umar R.A nay farmaya kh darwaza kholo! Allah tum per reham kare, tum ghabrao nahi, chunancha budhia nay darwaza khola aur Hazrat Umar r.a andar tashreef lay gaye, phir farmaya kh abhi jo alfaz tum kh rahi thi woh dobara dohrao, jab budhia woh alfaz keh kar farigh huvi to farmaya kh meri darkhawast hai kh mujhe bhi apnay sath shamil kar lo, chunan'cha es budhia nay kaha:'Aye Ghafar! Haamaray Sath Umar R.A Ki Bhi Maghfirat Kar Farma; Hazrat Umar Bin Khattab R.A khush ho gaye aur wapis chalay gaye.

Reference: Muntakhib Kanz ul A'amaal
www.payamberislamic.blogspot.com


Hazrat Umar r.a Stories 02

No comments:

Post a Comment