Thursday, October 1, 2015

Islamic History: Hazrat Kholah Bint-e-Sa'alba R.A Ka Maqam

Aik aurat apny hath main lathi liye rasta dhoond rahi thi, woh zaman ki museebton ki mari huvi thi, es nay Hazrat Umar Bin Khattab R.A khady thay, roka aur aik taraf lay gai, Hazrat Umar R.A es kay qareeb huvee,es kay kandhay per hath rakha aur apnay kan es ki taraf lagaye, Hazrat Umar R.A nay kafi dair tak es ki naheef awaz kii taraf kan lagaye rakhay aur es waqat tak insaraf nahi kiya jab tak es ki zaroorat ko pura nahi farma diya, es kay bad jab
Omar Bin Khattab
Hazrat Umar r.a
Hazrat Umar R.A in logon ki taraf wapis aye jo kafi dair say khady in ka intezar kar rahay thay to kisi a'admi nay kaha: aye Ameer ul Momineen! Ap r.a nay es budhia ki khatir Quraish kay a'admiyon ko rokay rakha? Hazrat Umar R.A nay farmaya kh tera naas ho! jantay bhi ho kh yeh budhia kon thi? es a'admi nay kaha kh me mahi janta, Hazrat Umar R.A nay farmaya kh yeh woh khatoon hain jin ka shikwah Allah Ta'alah nay saton a'asmano kay uper suna, yeh Kholah Bint e Sa'albah r.a hain, Khuda ki qasam! ager woh raat tak meray pass say wapis na jati to me bhi in ki zaroorat puri karnay tak wapis na lot'ta.


Reference: Al Darmi, Al Kanz
www.payamberislamic.blogspot.com 




Hazrat Umar r.a Stories 01

No comments:

Post a Comment