Companions of The Last Prophet Muhammad P.B.U.H (03) The Life of Hazrat Ibn-e-Abi Aufa Radi Allahu Anhu
Name And Ancestry: Alqamah aur Abdullah nam, Abu Muaviah kuniyat, Ibn-e-Abi Aufa r.a kay naam say mashoor hain, nasab nama yeh hai, Alqamah bin khalid bin haris bin abi aseed bin rafa'a bin sa'alba bin hawazan bin aslam bin aqsa.
![]() |
Forays |
Islam And Forays: Sulah Hudaibiyah kay qabal musharaf ba Islam huwe, Hudaibiyah main Hazoor s.a.w.w kay hum rikab thay, bait-e-Rizwan main sharf jan-nisari hasil kiya, hudaibiyah kay bad Ghawah-e-Khaiber huwa, sab say pehlay isi medan e jang main utray, phir hunnain main dad-e-shuja'at di, haton main kari zakham laga jis ka nishan muddat'ton baqi raha, fatah e Makah kay bad Hunnain main shareek huwe aur Islam ki Madafiyat main 7 Ladaion(Seven Fights) main in ki talwar be niyam huvi, aur is esar o qurbani kay sath kh ba'az ladaiyon main zindagi bachany kay liye sirf Tid'di (locust) kha kar basar karna pada.
Death: Hazrat Ibn e Abi Aufa r.a nay kafi Umar pai, Bani Umay-e-ah kay dor tak zindah rahay, akheer umar main a'ankhon say mazoor ho gaye thay, isi halat main 86 aur 88 sal kay darmiyan main wafat pai, yeh Ashab e Nabi s.a.w.w. main akhri buzurg thay, jinhon nay Koufa (Iraq) main inteql kiya.
Reference: Allah Kay Mujahid
No comments:
Post a Comment