Saturday, November 14, 2015

Islamic History: The Life of Hazrat Umar Farooq R.A - Urdu

Hazrat Umar Farooq Bin Khattab RA ( Seeret-e-Tayaba)


Life of Hazrat Umar Farooq R.A in Urdu Language
Hazrat Umar Farooq r.a  � wikipedia

The Second Khalif ( ????? ????): Khalifa e Dom Hazrat Umar Farooq R.A Ka Shumar Ashra Mubashra Sahaba Karam Main Hota Hai, Ap r.a ashraf e Quraish apni zati aur khandani wajahat ke aitebar se mumtaz aur buland martaba hasiyat rakhte hain, Ap r.a Sarkar e Madinah s.a.w.we ke khusar hain, Ap r.a ki kunniyat Abu Hifaz, Laqab Farooq e Azam aur Ism Mubarak UMAR - R.A hai.

Line age (????? ???): Ap r.a ka silsalay nasab yeh hai. Umar bin Khattab bin Nufail bin Abdul aza'a bin Abdullah bin Qart bin Zarah bin Ad'i bin Ka'ab bin Lo'ee.

Athween (8th) pusht main Ap r.a ka silsalay nasab Rasool-e-Kareem s.a.w.w. say ja milta hai.

Ap r.a ki walidah majidah ka naam Hatmah bint e Hashim bin Mughairah hai.

Birth (????? ?? ?????): Ap r.a ki wiladat ba sa'adat hijri Nabvi se chalees(40) baras pehle yani waqia feel ke terah(13) baras baad huvi.

Death/Martyrdom (????): Madinah Munawarah main Mughairah bi Sha'aba ka aik nasrani ghulam abu lolo fairoz - L.A (majoosi) rehta tha, jo kh kafir hone ki waja se Sayeduna Ameer ul momineen r.a se bughaz rakhta tha,

aik roz budh (Wednesday) ke din Namaz e Fajar ke waqat Musalman Masjid e Nabvi main jama huwe to fairoz L.A bhi aik khanjar (Knife) liye huwe Masjid e Nabvi main dakhil ho gaya, jab Hazrat Umar r.a ne Namaz ki Imamat start ki, Fairoz L.A jo Musalmano ke sath pehli saf main khada tha nikal kar es ne Hazrat Umar Farooq r.a per Khanjer (knife) ke 6 War kiye,

Ap R.A ne foran Hazrat Abdur Rahman bin Awf r.a ko apni jaga par Imamat ke liye khada kar dia aur khud zakhmon ke sadme se behosh ho kar gir pade, Hazrat Abdur Rahman bin Awf r.a ne do(2) bht hi choti choti sooraton ke sath Namaz padhai.

Hazrat Umar R.A per hamla karne ke baad Fairoz L.A ne aur Namaziyon per bhi hamla kia, jinho ne is ko bhagte huwe pakadne ki koshish ki is ne 13 afrad ko zakhni kia jin main se 6 afrad bad main inteqal farma gaye, es waqat aikk Ansari Sahabi ne is per kamble (Blanket) daal dia aur woh os kamble main ulajh gaya es per os ne apne hi khanger se khud kushi kar li.

Reference: Seerah al Salheen

No comments:

Post a Comment