Friday, November 13, 2015

Islamic History: The Life of Hazrat Abriha R.A

Companions of The Last Prophet Muhammad P.B.U.H (02) The Life of  Hazrat Abriha Radi Allahu Anhu

Name And Ancestry: Abreha r.a naam, sham ya habsha kay rehnay wale aur mazhaban esai thay , nam o nasab kay baray main aur koi tafseel kutab-e-rijal main nahi milti.

Islam: In kay qabool-e-Islam kay muta'aliq yeh to mutai-yen tor say nahi bataya ja sakta kh kab aur kaha qabool kiya, magar qarain say itna pata chalta hai kh jab bht say Sahaba Makkah say hijrat kar kay habsha gaye aur in ko nijashi kay darbar main darkhor hasil huwa, aur in kay zarye ahle-e-habsha ko Islam say waqif honay ka moqa mila to khud nijashi aur in kay sath bht say ulamay-e-Nsara nay Islam qabool kiya, ghaliban in hi Islam qabool karnay walon main Hazrat Abriha r.a aur in kay doosray rufaqa'a bhi thay.

Habsha to makkah
Hijrat Journey to Makkah
In The Serving of Prophet PBUH: Ahl-e-habsha main say jin logon nay Islam qabool kar liya tha, in kay dil main Rasool-e-Pak s.a.w.w ki ziyarat ka behad ishtiyaq tha, itifaq say isi darmiyan main Muhajreen-e-habsha Hazrat Ja'afar r.a kay sath Madinah wapis aye thay, isi qafilah kay sath Hazrat Abriha r.a bhi Madinah aye aur ziyarat-e-Nabvi s.a.w.w. say musharaf huwe.

Forays:  jab Ghazwa-e-Badar main musalmano ko fatah naseeb huvi aur is ki khabar habsha tak pohanchi to jo log habsha main Islam la chukay thay inhon nay Madinah ja kar Nabi Akram s.a.w.w. ki ziyarat karnay ki khuwahish nijashi say zahir ki, chunan'cha woh ijazat lay kar Madinah aye aur Ghazwah-e-Uhad main shirkat bhi ki, is main Hazrat Abriha r.a bhi thay.

Death: sun-e-wafat aur zindagi kay dosray halat maloom nahi ho sakay.

Reference: Allah Kay Mujahid

No comments:

Post a Comment