The Life of Hazrat Imam Hussain Bin Ali Bin Abi Talib Radi llahu Anhu
Introduction: Imam Hussain a.s - Hazrat Ali Aur Hazrat Fatimah r.a kay doosry baty hain,Ap say Hazoor s.a.w.w ko br inteha muhabbat thi.Ap s.a.w.w imam hussain ko kandhon per uthaty aur honton per bosa daty.
Birth: Imam Hussain a.s ki wiladat Imam Hassan a.s say 11 mah bad 3 shu'ban 4 hijri ko Madinah main huvi.
Surname and Titles: kuniyat Abu Abdullah aur alqab yeh hain, Sayed,Shabeer,Asgher
Children's: Ali Bin Hussain(Imam Zain-ul-A'abideen) Ali Akbar, Ali Asgher, aur batiyon kay nam yeh hain Bibi Sakeena,Bibi Fatimah, Bibi Zainab
Prophert PBUH Sayings About Imam Hussain a.s:
� Hassan aur Hussain a.s Jannat key jawanon kay sardar hain (Mashku'wah)
� Hussain mujh say hy aur Me Hussain say hoon jo Hussain say muhabbat kary Allah os say muhabbat kary Hussain meri awlad ki awlad hai (Tirmizi)
� dunya aur akhirat kay phool Hassan aur Hussain hain (Riyaz-ul-nasrah)
Imam Hussain a.s In The Reign of Khulafay-e-Rashideen:
Khulafay e Rshideen |
� Reign of Umar Farooq R.A: Ameer ul Momineen Umar Bin Khattab r.a nay hassan aur hussain a.s kay liye Badri Sahaba kay baraber 5,5 hazaar wazeefa muqarrar kiya, Hazrat Umar r.a nay maday'en ki fatoohat kay mal-e-ghanimat main aik larki (Shah Jahan) jo bad main Sher Bano khlai imam hussain a.s ko atiya main di jin say Imam Zain ul A'abideen r.a peda huway jin say iimam hussain a.s ki nasal chali.
� Reign of Usman Bin Affan R.A: Imam hussain a.s ki baiti Bibi Fatimah ka nikah Usman r.a kay poty Abdullah bin Umro bin Usman bin Affan r.a kay sath huwa,
Waqiya-e-Karbala: Safr-e-Karbala Main 72 afrad shamil thay jin main say 21 Ahl-e-Bait Thay,Ahl-e-Koofa nay 12000 khatoot imam hussain a.s ko bhejy kh Ap yaha A jain hum Ap ki bait karain gay,pehly Ap say Muslim bin Aqeel r.a ko koofah bheja lakin un ko waha qatal(Sheed) kar diya gaya, phir imam hussain a.s apny Ahl-e-bait kay sath khud koofah tashreef lay gaye, Imam Hussain .as jab koofah pohnchy to 30,000 Iraqiyon nau Ap kay hath per bai't ki lakin agly hi rooz Bai't karny walon nay Ap per talwar khenchi aur yazeed ki afwaj say mil ker imam hussain a.s ko be dardi kay sath Damishq jany wale rasty per Qatal ( Sheed) kar diya. (Inna Lillah-e-Wa in Elaih e rajioon)
Imam Hussain a.s Dome |
livelihood: Hazrat Umar Bin Khattab r.a nay Ap kay liye 5000 wazeefah mahana muqarrar farmaya tha jo Usman bin Affan r.a ki khilafat main bhi chalta raha, jab Ameer Muviah r.a ki dor-e-khilafat aya to unho nay 2 lakh salana muqarrar kiya (Imam Hassan a.s ki dast bardari kay bad)
inspirational quotes:
? Jald bazi nadani hai
? Sila rehmi ni'amat hai
? Narmi aqal mandi hai
? Imdad dosti hai
? Achy kam karty raho magar dil say
References: Hussain Bin Ali R.A Book, Mashku'wah, Tirmizi, Riyaz-ul-nasrah
�payamberislamic
No comments:
Post a Comment