Aqwal e Zareen Urdu - Hazrat Suleman A.S
- Kalam ki kasrat main kuch na kuch gunah ho ga, magar jo apne labon ko roke rehta hai, bada dana hai.
- Mulaim jawab ghuse ko kho deta hai, mager kharkht batain ghazab angaiz hain.
- Woh cheez jis ke liye ibadat bhi kaam nahi dati, os ka naam kiber hai.
- Sahib-e-feham per aik jhadki, ahmaq per 100 kodon se ziada asar karti hai.
- Dana apni danai ko chupata hai, lakin apni himakat ki ki manadi karta hai.
- Allah ki raah seedhe logon ke liye tawanai hai, aur badkirdaron ke liye halakat.
- Woh shaks jo apne gunahon ko chupata hai, kamyab na ho ga, mager jo gunah ka iqrar karta hai aur ise chod deta hai, es per rehmat ho gi.
- Ghagda sirf mazoori se peda hota hai, lakin aqal in ke saath haijo maslehat ko pasand karte hain.
- Bure naikon ki aur Shareer Rast bazon ki ata'at qabool nahi karte.
- Her aik mehnat main faidah hai lakin zabani jama kharch se muflasi aati hai.
No comments:
Post a Comment