Saturday, November 14, 2015

Islamic History: The Life of Hazrat Umar Farooq R.A - Urdu

Hazrat Umar Farooq Bin Khattab RA ( Seeret-e-Tayaba)


Life of Hazrat Umar Farooq R.A in Urdu Language
Hazrat Umar Farooq r.a  � wikipedia

The Second Khalif ( ????? ????): Khalifa e Dom Hazrat Umar Farooq R.A Ka Shumar Ashra Mubashra Sahaba Karam Main Hota Hai, Ap r.a ashraf e Quraish apni zati aur khandani wajahat ke aitebar se mumtaz aur buland martaba hasiyat rakhte hain, Ap r.a Sarkar e Madinah s.a.w.we ke khusar hain, Ap r.a ki kunniyat Abu Hifaz, Laqab Farooq e Azam aur Ism Mubarak UMAR - R.A hai.

Line age (????? ???): Ap r.a ka silsalay nasab yeh hai. Umar bin Khattab bin Nufail bin Abdul aza'a bin Abdullah bin Qart bin Zarah bin Ad'i bin Ka'ab bin Lo'ee.

Athween (8th) pusht main Ap r.a ka silsalay nasab Rasool-e-Kareem s.a.w.w. say ja milta hai.

Ap r.a ki walidah majidah ka naam Hatmah bint e Hashim bin Mughairah hai.

Birth (????? ?? ?????): Ap r.a ki wiladat ba sa'adat hijri Nabvi se chalees(40) baras pehle yani waqia feel ke terah(13) baras baad huvi.

Death/Martyrdom (????): Madinah Munawarah main Mughairah bi Sha'aba ka aik nasrani ghulam abu lolo fairoz - L.A (majoosi) rehta tha, jo kh kafir hone ki waja se Sayeduna Ameer ul momineen r.a se bughaz rakhta tha,

aik roz budh (Wednesday) ke din Namaz e Fajar ke waqat Musalman Masjid e Nabvi main jama huwe to fairoz L.A bhi aik khanjar (Knife) liye huwe Masjid e Nabvi main dakhil ho gaya, jab Hazrat Umar r.a ne Namaz ki Imamat start ki, Fairoz L.A jo Musalmano ke sath pehli saf main khada tha nikal kar es ne Hazrat Umar Farooq r.a per Khanjer (knife) ke 6 War kiye,

Ap R.A ne foran Hazrat Abdur Rahman bin Awf r.a ko apni jaga par Imamat ke liye khada kar dia aur khud zakhmon ke sadme se behosh ho kar gir pade, Hazrat Abdur Rahman bin Awf r.a ne do(2) bht hi choti choti sooraton ke sath Namaz padhai.

Hazrat Umar R.A per hamla karne ke baad Fairoz L.A ne aur Namaziyon per bhi hamla kia, jinho ne is ko bhagte huwe pakadne ki koshish ki is ne 13 afrad ko zakhni kia jin main se 6 afrad bad main inteqal farma gaye, es waqat aikk Ansari Sahabi ne is per kamble (Blanket) daal dia aur woh os kamble main ulajh gaya es per os ne apne hi khanger se khud kushi kar li.

Reference: Seerah al Salheen

Friday, November 13, 2015

Islamic History: The Life of Hazrat Imam Hussain A.S

The Life of  Hazrat Imam Hussain Bin Ali Bin Abi Talib Radi llahu Anhu

Introduction: Imam Hussain a.s - Hazrat Ali Aur Hazrat Fatimah r.a kay doosry baty hain,Ap say Hazoor s.a.w.w ko br inteha muhabbat thi.Ap s.a.w.w imam hussain ko kandhon per uthaty aur honton per bosa daty.
Birth: Imam Hussain a.s ki wiladat Imam Hassan a.s say 11 mah bad 3 shu'ban 4 hijri ko Madinah main huvi.
Surname and Titles: kuniyat Abu Abdullah aur alqab yeh hain, Sayed,Shabeer,Asgher
Children's: Ali Bin Hussain(Imam Zain-ul-A'abideen) Ali Akbar, Ali Asgher, aur batiyon kay nam yeh hain Bibi Sakeena,Bibi Fatimah, Bibi Zainab
Prophert PBUH Sayings About Imam Hussain a.s:
 � Hassan aur Hussain a.s Jannat key jawanon kay sardar hain (Mashku'wah)
 � Hussain mujh say hy aur Me Hussain say hoon jo Hussain say muhabbat kary Allah os say muhabbat kary Hussain meri awlad ki awlad hai (Tirmizi)
 � dunya aur akhirat kay phool Hassan aur Hussain hain (Riyaz-ul-nasrah)

Imam Hussain a.s In The Reign of Khulafay-e-Rashideen:

 
Abu Bakar, Umar, Usman, Ali
Khulafay e Rshideen
� Reign of Abu Bakar Siddique R.A: 
jab pehli bar Hazrat Abu Bakar r.a nay Hussain a.s ko dekha to farmaya Beta to ALi r.a ka hai lakin Soorat Nabi Ki jesi hai. jab khalifah bany to herah ki fatah kay bad jo mal-e-ghanimat aya os main say aik besh baha qeemat chader Hussain a.s ko tuhfa ki unhon nay ba khooshi qabool ki.
 � Reign of Umar Farooq R.A: Ameer ul Momineen Umar Bin Khattab r.a nay hassan aur hussain a.s kay liye Badri Sahaba kay baraber 5,5 hazaar wazeefa muqarrar kiya, Hazrat Umar r.a nay maday'en ki fatoohat kay mal-e-ghanimat main aik larki (Shah Jahan) jo bad main Sher Bano khlai imam hussain a.s ko atiya main di jin say Imam Zain ul A'abideen r.a peda huway jin say iimam hussain a.s ki nasal chali.
 � Reign of Usman Bin Affan R.A: Imam hussain a.s ki baiti Bibi Fatimah ka nikah Usman r.a kay poty Abdullah bin Umro bin Usman bin Affan r.a kay sath huwa,
Waqiya-e-Karbala: Safr-e-Karbala Main 72 afrad shamil thay jin main say 21 Ahl-e-Bait Thay,Ahl-e-Koofa nay 12000 khatoot imam hussain a.s ko bhejy kh Ap yaha A jain hum Ap ki bait karain gay,pehly Ap say Muslim bin Aqeel r.a ko koofah bheja lakin un ko waha qatal(Sheed) kar diya gaya, phir imam hussain a.s apny Ahl-e-bait kay sath khud koofah tashreef lay gaye, Imam Hussain .as jab koofah pohnchy to 30,000 Iraqiyon nau Ap kay hath per bai't ki lakin agly hi rooz Bai't karny walon nay Ap per talwar khenchi aur yazeed ki afwaj say mil ker imam hussain a.s ko be dardi kay sath Damishq jany wale rasty per Qatal ( Sheed) kar diya. (Inna Lillah-e-Wa in Elaih e rajioon)

hazrat imam hussain a.s srine iraq
Imam Hussain a.s Dome
Attributes and perfections: Imam Hussain a.s nay khandan-e-Nabuwat main perwarish pai thi es liye Ma'adan Fazal o Kamal bann gaye thy,Akabire Madinah Mushkil massail main un say rajoo kiya karty thy, aik martaba Abdullah bin Zubair r.a nay Ap say poocha kh qaidi ko reha karny ka farz kis per A'aed hota hai to Ap nay farmaya os per jis ki khatir woh Lara. Ibadat un ka ma'amool tha, Farz namaz kay ilawa bht sary nawafil bhi ada karty thy, aik riwayat main ata hai kh imam hussain a.s nay 25 Hujj piyadah kiya.
livelihood: Hazrat Umar Bin Khattab r.a nay Ap kay liye 5000 wazeefah mahana muqarrar farmaya tha jo Usman bin Affan r.a ki khilafat main bhi chalta raha, jab Ameer Muviah r.a ki dor-e-khilafat aya to unho nay 2 lakh salana muqarrar kiya (Imam Hassan a.s ki dast bardari kay bad)
inspirational quotes:
 ? Jald bazi nadani hai
 ? Sila rehmi ni'amat hai
 ? Narmi aqal mandi hai
 ? Imdad dosti hai
 ? Achy kam karty raho magar dil say

References: Hussain Bin Ali R.A Book, Mashku'wah, Tirmizi, Riyaz-ul-nasrah
payamberislamic

Islamic History: The Life of Hazrat Ibn-e-Abi Aufa R.A

Companions of The Last Prophet Muhammad P.B.U.H (03) The Life of  Hazrat Ibn-e-Abi Aufa Radi Allahu Anhu

Name And Ancestry: Alqamah aur Abdullah nam, Abu Muaviah kuniyat, Ibn-e-Abi Aufa r.a kay naam say mashoor hain, nasab nama yeh hai, Alqamah bin khalid bin haris bin abi aseed bin rafa'a bin sa'alba bin hawazan bin aslam bin aqsa.

Islamic History Forays
Forays
Islam And Forays: Sulah Hudaibiyah kay qabal musharaf ba Islam huwe, Hudaibiyah main Hazoor s.a.w.w kay hum rikab thay, bait-e-Rizwan main sharf jan-nisari hasil kiya, hudaibiyah kay bad Ghawah-e-Khaiber huwa, sab say pehlay isi medan e jang main utray, phir hunnain main dad-e-shuja'at di, haton main kari zakham laga jis ka nishan muddat'ton baqi raha, fatah e Makah kay bad Hunnain main shareek huwe aur Islam ki Madafiyat main 7 Ladaion(Seven Fights) main in ki talwar be niyam huvi, aur is esar o qurbani kay sath kh ba'az ladaiyon main zindagi bachany kay liye sirf Tid'di (locust) kha kar basar karna pada.

Death: Hazrat Ibn e Abi Aufa r.a nay kafi Umar pai, Bani Umay-e-ah kay dor tak zindah rahay, akheer umar main a'ankhon say mazoor ho gaye thay, isi halat main 86 aur 88 sal kay darmiyan main wafat pai, yeh Ashab e Nabi s.a.w.w. main akhri buzurg thay, jinhon nay Koufa (Iraq) main inteql kiya.

Reference: Allah Kay Mujahid

Islamic History: The Life of Hazrat Abriha R.A

Companions of The Last Prophet Muhammad P.B.U.H (02) The Life of  Hazrat Abriha Radi Allahu Anhu

Name And Ancestry: Abreha r.a naam, sham ya habsha kay rehnay wale aur mazhaban esai thay , nam o nasab kay baray main aur koi tafseel kutab-e-rijal main nahi milti.

Islam: In kay qabool-e-Islam kay muta'aliq yeh to mutai-yen tor say nahi bataya ja sakta kh kab aur kaha qabool kiya, magar qarain say itna pata chalta hai kh jab bht say Sahaba Makkah say hijrat kar kay habsha gaye aur in ko nijashi kay darbar main darkhor hasil huwa, aur in kay zarye ahle-e-habsha ko Islam say waqif honay ka moqa mila to khud nijashi aur in kay sath bht say ulamay-e-Nsara nay Islam qabool kiya, ghaliban in hi Islam qabool karnay walon main Hazrat Abriha r.a aur in kay doosray rufaqa'a bhi thay.

Habsha to makkah
Hijrat Journey to Makkah
In The Serving of Prophet PBUH: Ahl-e-habsha main say jin logon nay Islam qabool kar liya tha, in kay dil main Rasool-e-Pak s.a.w.w ki ziyarat ka behad ishtiyaq tha, itifaq say isi darmiyan main Muhajreen-e-habsha Hazrat Ja'afar r.a kay sath Madinah wapis aye thay, isi qafilah kay sath Hazrat Abriha r.a bhi Madinah aye aur ziyarat-e-Nabvi s.a.w.w. say musharaf huwe.

Forays:  jab Ghazwa-e-Badar main musalmano ko fatah naseeb huvi aur is ki khabar habsha tak pohanchi to jo log habsha main Islam la chukay thay inhon nay Madinah ja kar Nabi Akram s.a.w.w. ki ziyarat karnay ki khuwahish nijashi say zahir ki, chunan'cha woh ijazat lay kar Madinah aye aur Ghazwah-e-Uhad main shirkat bhi ki, is main Hazrat Abriha r.a bhi thay.

Death: sun-e-wafat aur zindagi kay dosray halat maloom nahi ho sakay.

Reference: Allah Kay Mujahid

Thursday, November 12, 2015

Islamic History: The Life of Hazrat Abu Bardah bin Nyar R.A

Life of Hazrat Abu Bardah bin Nyar R.A

Line age (????? ???): Hani naam, Abhu barda kuniyat, Qabila Bali se hain, silsala nasab yeh hai, Hani bin Nayar bin Umro bin Ubaid bin Kalab bin Dahman bin Ghanam bin Zeeban bin Hameem bin Kahel bin Zahl bin Baly.

Islam (?????): Aqba' Sania main Musalman huwe.

Forays (?????): Badar, Ohad, khandaq aur tamam ghazawat main shirkat ki, Ghazwa e Ohad main Musalmano ke pass sirf do(2) Ghode(Horses) the, jin main aik Abu Bardah r.a ke pass tha, Fatah Makkah main Banu Harisa ka Alam in ke pass tha.

Ahd e Nabuwat ke bad Hazrat Ali r.a ki tamam Ladaion (Forays) main shareek rahe.

Death (????): Hazrat Ameer Muviah r.a ke zamana e Khilafat main 41 hijri main wafat pai. 


Reference: Allah Kay Mujahid

Islamic History: The Life of Hazrat Abu Ayub Ansari r.a




Islamic History: The Life of Hazrat Abu alhaisam r.a


Islamic History: The Life of Hazrat Abu alaas r.a


Islamic History: The Life of Hazrat Abu Darda r.a