Sahih Bukhari, Book 3, Chapter 30, Numaber 1891
This is Hadith about Ramadan Fasting which is tacken from the most popular Hadith book Sahih Bukhari Shareef.
Narrated by Talha bin Abdullah
"Aik Aerabi pareshan haal baal bikhre Hazoor saw ki khidmat main hazir huwa, os ne poocha ya Rasool Allah mujh per Allah ne kitni Namazain Farz ki hain? Ap saw ne farmaya 5 Namazain, yeh aur baat hai kh tum apni taraf se Nawafil parh lo, phir os ne kaha batayee Allah pak ne mujh per Roze kitne Farz kiye hai? Ap saw ne farmaya kh Ramzan Mubarak ke Roze, yeh aur baat hai kh tum apne tor per kuch Nafli Roze bhi rakh lo, phir os ne poocha batayee Zakat kis tarah mujh per Farz ki ha? Ap saw ne os ko Shar'e Islam ki batain bata di, jab is Aerabi ne kaha is zaat ki qasam jis ne Ap saw ko Izzat di! na me is main is se jo Allah ne mujhe per Farz kar dia hai kuch barhaon ga na ghataon ga, is per Rasool Allah saw ne farmaya ager is ne sach kaha hai to yeh murad ko pohanchaya (Ap saw ne yeh farmaya kh) ager sach kaha hai to Jannat main jaye ga".
Reference: Sahih Bukhari "1891"
No comments:
Post a Comment