Tuesday, May 2, 2017

Fasting (Roza) Introduction in Urdu and Hindi

Fasting (Roza)


Roza or Fast/Fasting Arabic name is Som.

Fastin is Farz on any Muslim in the Month of Ramadan, because Allah Revealed Ayat in Quran about Ramadan Fasting, Intermittent Fasting will help you to be healthy.

Introduction in Urdu & Hindi:

Som lughat mian rokne ko kehte hian, sharaan yeh aik Ibadat ka naam hai, jis mian aik Muslim mard aurat subh Sadiq se le kar Shaam tak khane peene aur Jama'a se ruk jata hai, saal main aik Month aesa Roza rakhna har Muslim per Farz hai, Ladies aur mareez musafir ke liye kuch Riayaat hain, jo mazkoor hon gi, is month ko Ramadan/Ramzan kaha jata hai, jo Ramz se mushtaq hai, jis ke meaning jalne ke hain, jis Ramzan ke Roze Farz huwe woh sakht garmi ka maheena tha, is liye lafz Ramzan se mosoom huwa.

Ba'az ne kaha is maah main Roza rakkhne walon ke Gunah/Sin jal jate hain, Ramadan ke Rozon ki Farziat Quran pak se sabit hai, jo shaks Ramzan ke Rozon se inkar kare woh bila ittefaq Kafir hia, .

Ilama Shokani farmate hain Roza lughat main ruk jana awr Shariyat main makhsoos shariat ke saath aik makhsoos waqt main makhsoos tor per ruk jana hai, Mahe Ramazan ke Roze 2 Hijri main Farz huwe.

payamberislamic

No comments:

Post a Comment