The Day of Aashura
Islami saal ki ibtida Muharram say hoti hai, es maheeny ki dasween tareekh ko Ashura kehty hain, Nabi Kareem s.a.w.w es din Roza rakha kartay thay aur Aam Musalmano ko bhi Roza rakhnay ki targheeb datay thay.
|
10 Muharram |
Hazrat Ibn e Abbas r.a bayan kartay hain kh Nabi Kareem s.a.w.w hijrat kar kay Madinah pohanchay to Ap s.a.w.w ko pata chala kh yahoodi Aashura ka Roza rakhtay hain, App s.a.w.w nay es ka sabab pucha to unhon nay jawab diya ;yeh aik acha din hai, es din Allah nay bani israeel ko en kay dushman (Fir'on) say nijat di thi, es liye Hazrat Musa a.s nay es din Roza rakha tha' Nabi Kareem s.a.w.w nay farmaya, Me Musa a.s ka (Shareek e Mussarat o Shukar honay main) tum say Ziada haq rakhta hoon, Chun'cha App s.a.w.w nay es din Roza rakha aur Sahaba Karam r.a ko bhi es ka hukam diya.
Hazrat Ayesha r.a bayan karti hain kh jahliyat main qureash bhi Ashura ka Roza rakhtay thay, Rasool e Pak s.a.w.w bhi yeh naik amal kartay thay, App s.a.w.w kay Madinah aanay kay bad bhi yeh amal jari raha, Ramadan kay Rozon ki Farziyat kay baad App s.a.w.w nay es ko ikhtiyari amal qarar diya aur farmaya : jis ka jee chahy es din Roza rakhay aur jis ka jee chahay na rakhay.
Kuck Riwayat say sabit hota hai kh 9 aur 10 Muharram donon ka Roza rakhna bhi afzal hai.
10 Muharram ko Paish Aany Walay Waqiyat:
- Hazrat Adam a.s Ki Pedaish
- Hazrat Musa a.s Ka Fir'on Say Bani Israeel Ko Azad Karana.
- Waqiya e Karbala.
- Aur Qayamat bhi 10 Muharram ko Hi Ho Gi.