???? ?????? ??? ?????? ??? ???? ????
(6) Hazrat Javairiah Binte Haris R.A
Bibi Javairiah r.a ke walid Qabeela Khaza'a ki shakh Banu Al Mustalaq ke sardar thee, hazrat Javairiah r.a Banu Al Mustalaq ke qaidiyon main lai gai thi, aur hazrat Sabit bin Qais bin Shamas r.a ke hisse main pari thi, unho ne hazrat Javairiah r.a se makatibat kar li, yani aik muqararah raqam ke iwaz azad kar dane ka ma'amla teh kar lia, is ke baad Rasool-Allah saw ne in ki taraf se muqararah raqam ada farma si aur in se shadi kar li, yeh Sha'aban 5 ya 6 Hijri ka waqia hai, is shadi ke nateeja main Musalmano ne Banu Al-Mustalaq ke 100 gharane azad kar diye, aur kaha kh yeh log Rasool-Allah saw ke susrali hain.
Chunancha Bibi Javairiah r.a apni qaom ke liye sari aurton se barh kar babarkat sabit huwi, Ap r.a ne Rabiul Awal 55 ya 56 Hijri main wafat pai, os waqat Ap r.a ki umar mubarak 65 baras thi.
Read This Also: Complete List Wives Of Prophet Muhammad Saw
No comments:
Post a Comment