???? ???? ??? ??? ??? ???? ????
(11) Hazrat Zainab Binte Jahash R.A
Bibi Zainab Binte Jahash r.a Qabeelah Banu Asad bin Khazeemah se ta'aluq rakhti thi, aur Rasool-Allah saw ki phoophi ki daughter thi, Ap r.a ki shadi pehle Zaid bin Harisa r.a se huwi thi, jinhe
Rasool-Allah saw ka beta samjha jata tha, lakin Hazrat Zaid r.a se nibah na ho saka aur unho ne talaq de di, Id'dat khatam hone ke baad Allah pak ne Rasool-Allah saw ko mukhatib karte huwe yeh ayat
nazil farmai.
(Surah Al Ahzab) " Jab Zaid r.a ne In se apni zaroorat khattam kar li to Hum ne Inhe Ap saw ki zojiat main de dia"
Ap r.a hi ke ta'aluq se Surah Ahzab main kae Ayat nazil huwi, jin main Le palak ke Qazeeye ka do tok faisla kar dia gaya, Bib Zainab r.a se Rasool-Allah saw ki shadi Zi.Qa'adah 5 Hijri main ya 4 Hijri mian huwi, Ap r.a sab aurton se zaida Ibadat guzar aur Sadqa karne wali khatoon thi, hazrat Zainab r.a ne 200 Hijri main wafat pai, is waqat ap r.a ki umar mubarak 53 saal thi, aur ap r.a Rasool-Allah saw ke baad pehli Biwi hain jin ka intiqal huwa, Hazrat Umar bin Khattab r.a ne Bibi Zainab r.a ke Janaza ki Namaz parhai aur Ap r.a ko Jannat al-Baqi mian dafan kia gaya.
Read This Also: Complete List Wives Of Prophet Muhammad Saw
No comments:
Post a Comment