???? ????? ??? ???? ?????
(01) Hazrat Muhammad saw ki pehli shadi Hazrat Khadijah r.a se huwi, shadi ke waqat Ap saw ki umar mubarak 25 saal, aur hazrat Khadijah r.a ki umar mubarak 40 saal thi, hazrat Khadijah r.a ki zindagi main Ap saw ne koi dosri shadi nahi ki, Hazoor saw ki baite hazrat Ibrahim r.a ke siwa tamam aulad hazrat Khadijah r.a ki batan se thi, larkon main se to koi zindah na bacha, lakin sahibzadiyan (girls) hayat rahi, in ke naam yeh hain.
- Hazrat Bibi Zainab r.a
- Hazrat Bibi Rukayia r.a
- Hazrat Bibi Umme Kulsoom r.a
- Hazrat Bibi Fatimah Zahra r.a
Bibi Zainab r.a ki shaadi Hijrat se pehle in ke phupi zaad bhai hazrat Abu al A'as bin Rabee se huwi, Bibi Rukayia aur Bibi Umme Kulassom r.a ki shadi aik aik kar ke 3rd Calif Hazrat Usman bin Affan r.a se huwi, Hazrat Bibi Fatimah r.a ki shadi jange Badar aur jange Ohad ke drmiyani arsa main un ke chacha zaad Hazrat Ali ibne Abi Talib r.a se huwi, aur un ke batan mubarak se Hazrat Hassan, Hussain r.a aur Bibi Zainab, Umme Kulsoom r.a paida huwe.
Hazrat Khadijah r.a se Ap saw ko intiha ki aqeedat aur muhabbat thi, Hazoor saw ka irshade paak he kh " Un se behter mujhe koi bivi nahi mili, kue kh unho ne Eman la kar os waqat mera saath dia jab kufar ne mujh per zulm o sitam ki had kar rakhi thi."