Imam Abu Hanifah ka karobar Main Ehtiyat (khof e Khuda)
Imam Abu Hanifa ki kapre ki dukan thi, ap madrasah ke baad waha tijarat kia karte the, Ummat Muhammadi saw ko tijarat kis ne sikhai? Ya khalifa awal Abu Bakr siddique r.a ne ya Imam e Azam Abu Hanifa r.a ne. Aik din ap ne Zuhar ki namaz ke baad,apni dukan band kar di aur jane lage to ap ke sathi dukandar ne kaha "Abu hanifa aj to jaldi nikal liye kaha ja rahe hain aj ap"?
Imam sahib ne farmaya kia ap daikh nahi rahe asman per kale badal chaye huwe hain. Is shaks ne kaha ya Noman in kale badlon ka dukan se kia lena dena ?
Imam e Azam ne farmaya kh jab badal gehre ho jate hain to charagh ki roshni tareeki kam karne ke liye kafi nahi hoti jis ki waja se gahak ko kapre ki quality ka pata nahi chalta aur os ko viraity ki pehchan nahi hoti. Me ne is liye dukan band ki kh mere pas ane wala ghahak kam qimat wale kapre ko qimati samajh kar ziada pase na dy.
Aj ke dukandar ke pass ja kar pata chalta hai kh jab in ke pass koi masoom gahak a jaye to woh os ko aesi qeanchi se zibah karte hain kh 2 number kapra bhi 1 number ki qimat par sale kar late hain. Balkh aj kal to gahak ko lootne ke nit naye tareeqe aye hain.
No comments:
Post a Comment