Hazrat Zubair Bin Awam R.A Ka Ishq e Rasool Saw Aur Shuja'at
12 sal ka aik bacha hath main talwar liye taiz taiz qadmon ke sath aik taraf lapka ja raha tha, dhoop bhi kjasi taiz thi, basti main sanata tari tha, yun lagta tha jase is bache ko kisi ki parwah nahi, lapaktr qadmo ka rukh basti se bahir ki taraf tha, chehra ghusse se laal ho raha tha, aankhain kisi ki talash main right-left ghoom rahi thi, achanak aik chatan ke peechae se aik saya lapka, bache ne talwar ko mazbooti se tham lia, aane wala jab samne aya to bache ka chehra khushi se khil utha, hath main talwar aur chehre per jhilmilahat daikh kar aane wale ne shafqat se poocha "mere piyare baite aese waqat main tum yaha kese?"
Bache ne jawab dia ''Ap ki talash main''
is bache ka naam Zubair r.a baap ka naam Awam aur maa ka naam Safia r.a tha, yeh bacha Rasool e pak saw ka phoophi zaad bhai tha.
Qisa yeh paish aya tha kh Makkah main yeh afwah phaili kh Hazoor saw ko kufar ne paharo (mountains) main pakar lia hai, Makkah main dushman to bohat ziada the, is liye aesa ho bhi sakta tha, Hazrat Zubair r.a jin ki umar is waqat sirf 12 baras thi talwar uthai aur akele hi Ap saw ki talash main nikal khare huwe, aakhir Ap saw mil gaye, piyare Nabi saw ne is halat main daikh kar poocha.
"Ager waqai mujhe pakar lia ggaya hota to phit tum kia karte?"
Is 12 sala bache ne jawab dia
"Me Makkah main itne khoon karta kh in ke khoon ki nadyan baha deta aur kisi ko zindah na chorta"
Piyare Nabi saw yeh baat sun kar muskura diye aur is jur'rat mandana andaz per apni chadar mubarak inaam ke tor per ataa farmai, Allah pak ko yeh ada pasand aai, Jibreel a.s asman se nazil huwe aur ar'z kia Zubair r.a ko khush khabri dain de kh ab qayamat jitne log Allah ke raste main talwar uthain ge in ka sawab Zubair r.a ko bhi mile ga.
Refference (Hayat e Sahaba)
Sent by: Ali Ayub Awan

No comments:
Post a Comment