Wednesday, August 31, 2016

Sahih Bukhari In Urdu Pdf Free Download

Sahih Bukhari In Urdu Pdf Free Download, Complete Sahih Bukhari 8 parts in pdf free download, Sahih bukhari is the world famous Hadtih (sayings of Prophet saw) book written by Abu Abdullah Muhammad Bin Ismaeel Bukhari r.a. and translated in urdu by Maulana Muhammad Dawood Raaz.

Sahih Bukhari In Urdu


Download Sahih Bukhari In Urdu Pdf

SAHIH BUKHARI URDU PDF

AUTHOR: ABU ABDULLAH MUHAMMAD ISMAEEL BUKHARI
FORMAT: PDF

Saturday, August 27, 2016

Difference Between Faraz Namaz And Tahhajut Namaz Urdu/Hindi

Faraz Namaz And Tahhajut Namaz

Faraz Namaz And Tahhajut Namaz


Kia ap ko maloom he kh farz namaz aur Tahajjut ki namaz main kia farq hai ?
Farz namazon ke liye insan Azan deta he, jab kh Tahajjut ke liye Allah pak manadi deta hai.
Farz namazo ke liye manadi (Azan) sab insan sunte hain, jab kh Tahajjut ke liye manadi sirf chand khush bakht insan sunnte hain, Farz namaz ko bohat sare log parhte hain jan kh Tahajjut ki namaz sirf Allah ke khas bande parhte hain, Farz namaz ke liye pukara jata he "?? ???????" aao namaz ki taraf, jab kh Tahujjat ke liye pukar hai " hai koi mangne wala kh me osse ataa karu".

Aye Allah humain bhi Tahujjat ki namaz parhne ki taufeeq ata farma aur hamain hidayat ki rah per chala, Ameen

Journalist interviewing A Farmer Urdu/Hindi Story

Aik TV journalist ka aik kisan se interview.

journalist and farmer

Aik TV journalist aik kisan se interview le raha tha.
Journalist: ap bakre ko kia kjilate hain?
Kisan: siyah ya safaid ko ?
journalist: safaid ko
Kisan: ghas
Journalist: aur siyah ko ?
Kissan: isko bhi ghas
Journalist: ap in bakron ko bandhte kaha ho ?
Kissan: siyah ya safaid ko?
Journalist: safaid ko
Kissan: baher ke room main
Journalist: aur siyah ko ?
kissan: isko bhi baher ke room main
Journalist: aur ap inko nihlate kese ho ?
Kissan: kisee safaid ya siyah ko ?
Journalist: siyah ko
Kissan: ji pani se
Journalist: aur safaid ko ?
Kissan: ji isko bhi pani se
Journalist ka ghusa 7th asman per, bola "jab dono ke sath sab kuch aik jesa karta he to phir mujhe kue var bar poochta he kh siya ya safaid ?"
Kissan: kue kh siyah bakra mera hai
Journalist: aur safaid bakra ?
Kissan: woh bhi mera he
Journalist behosh. . . .
Hosh aane per kissan bola ab pata chala ? Jab tum aik hi news ko sara din ghuma phira kar dikhate ho to hum bhi aese hi dukhi hotte hain. . . .

Monday, August 22, 2016

Baba ji Ki nasihat Urdu/Hindi Story

Baba ji Ki nasihat Urdu/Hindi Story

Urdu/Hindi Stories


Aik sahib ki baba ji se mulaqat huwi to os ne guzarish ki kuch nasihat diiye.
Baba ji ne ajeeb sawal kia.

"Kaka kabhi bartan dhoye hain ?"

ab woh sahib baba ke sawal per heran huwa aur jawab dia kh, jee dhoye hain.
Poochne lage, kia seekh ?

Os ne kaha is main seekhne wali kia baat he?

Baba muskuraye aur kehne lage, "bartan ko bahar se kam aur andar se ziada dhona parta hai"

Purane Zamane Ke Log Bohat Sadha Hote The Funny Urdu Story

Purane Zamane Ke Log Bohat Sadha Hote The Funny Urdu Story

Funny Urdu Story

Purane waqton ki baat hai log bohat sadah huwa karte the date poochne ke liye bhi Masjid ke mia ji ke pass jaya karte the, calendar nahi huwa karte the, bas mia ji ne jo tareekh bata di maan li, mia ji ke pas kon sa computer ya mobile, calendar ya watch tha.

Balkh aik sadah ijad thi mia ji baqaidgi se chand daikhte aur rozana apne hujre main rakhe huwe lotay main apni bakri ki maingnia dal datee jab koi tareekh poochne ata to lota ulattay aur maingnia gin kar bahir ja kar tareekh bata datee, aik din mia ji ki bakri hujre main dakhil huwi aur os ne direct lotay ke uper maingnia kar di, agle din koi tareek poochne aya mia ji hujre main gaye aur lota ulta to heran ho gaye lota to full bhara tha majbooran ginti start ki, jab counting poori huvi adhe ghante main paseene se sharabor mia ji bahir nikle to poochne wale ne kaha jee mia ji kia tareekh he aj ?

Mia ji be baita aj 80 tareekh he, woh shaks heran ho kar bola mia ji kuch Khuda ka khof karain 80 bhi koi tareekh hoti he kia ? Mia ji bole baita Allah ka khof kha kar hi bata raha hu warna lote main to 280 hain. :-)

Saturday, August 20, 2016

Mardana Taqat Main Izafa Karne Ka Nihayat Asan Tareeqa Kar Urdu/Hindi

Mardana Taqat Main Izafa Karne Ka Nihayat Asan Tareeqa Kar


Mardana Taqat Aur Kalwanji

Aik intihai sada si khorak ager rozana breakfast main use ki jaye to ap ki mardana taqat ziada ho sakti he.

How to use:

Aik cup kalwanji ke beej, do spoon maithi ke beej aur aik spoon niazbo le kr pees lain, rozana subah es safof se aik spoon le kr shahad () main mix kr ke kha lain aur aik glass milk zaroor piye sath, sirf 6 weeks main hairat angaiz result daikhain ge ap.

Kalwanji ka istemal na sirf mardan taqat ko ziada karta hai balkh bohat sari bemarion ko bho khattam karta hai, ager is ko regular usr kia jaye to yeh body main baf colestrol ko rok kar B.P ko control karta hai.

Note: yonung larke pornography se door rahne ki koshish karain aur 5 waqt ki namaz parhne ki aadat apna lain es tarah bhi burai se ruk kr apni mardangi ki hifazat karain.

Hazrat Zubair Bin Awam R.A Ka Ishq e Rasool Saw Aur Shuja'at

Hazrat Zubair Bin Awam R.A Ka Ishq e Rasool Saw Aur Shuja'at

Hazrat Zubair Bin Awam R.A

12 sal ka aik bacha hath main talwar liye taiz taiz qadmon ke sath aik taraf lapka ja raha tha, dhoop bhi kjasi taiz thi, basti main sanata tari tha, yun lagta tha jase is bache ko kisi ki parwah nahi, lapaktr qadmo ka rukh basti se bahir ki taraf tha, chehra ghusse se laal ho raha tha, aankhain kisi ki talash main right-left ghoom rahi thi, achanak aik chatan ke peechae se aik saya lapka, bache ne talwar ko mazbooti se tham lia, aane wala jab samne aya to bache ka chehra khushi se khil utha, hath main talwar aur chehre per jhilmilahat daikh kar aane wale ne shafqat se poocha "mere piyare baite aese waqat main tum yaha kese?"
Bache ne jawab dia ''Ap ki talash main''
is bache ka naam Zubair r.a baap ka naam Awam aur maa ka naam Safia r.a tha, yeh bacha Rasool e pak saw ka phoophi zaad bhai tha.

Qisa yeh paish aya tha kh Makkah main yeh afwah phaili kh Hazoor saw ko kufar ne paharo (mountains) main pakar lia hai, Makkah main dushman to bohat ziada the, is liye aesa ho bhi sakta tha, Hazrat Zubair r.a jin ki umar is waqat sirf 12 baras thi talwar uthai aur akele hi Ap saw ki talash main nikal khare huwe, aakhir Ap saw mil gaye, piyare Nabi saw ne is halat main daikh kar poocha.

"Ager waqai mujhe pakar lia ggaya hota to phit tum kia karte?"

Is 12 sala bache ne jawab dia

"Me Makkah main itne khoon karta kh in ke khoon ki nadyan baha deta aur kisi ko zindah na chorta"

Piyare Nabi saw yeh baat sun kar muskura diye aur is jur'rat mandana andaz per apni chadar mubarak inaam ke tor per ataa farmai, Allah pak ko yeh ada pasand aai, Jibreel a.s asman se nazil huwe aur ar'z kia Zubair r.a ko khush khabri dain de kh ab qayamat jitne log Allah ke raste main talwar uthain ge in ka sawab Zubair r.a ko bhi mile ga.

Refference (Hayat e Sahaba)
Sent by: Ali Ayub Awan

Imam Abu Hanifah ka karobar Main Ehtiyat (khof e Khuda)

Imam Abu Hanifah ka karobar Main Ehtiyat (khof e Khuda)

Imam Abu Hanifah

Imam Abu Hanifa ki kapre ki dukan thi, ap madrasah ke baad waha tijarat kia karte the, Ummat Muhammadi saw ko tijarat kis ne sikhai? Ya khalifa awal Abu Bakr siddique r.a ne ya Imam e Azam Abu Hanifa r.a ne. Aik din ap ne Zuhar ki namaz ke baad,apni dukan band kar di aur jane lage to ap ke sathi dukandar ne kaha "Abu hanifa aj to jaldi nikal liye kaha ja rahe hain aj ap"?

Imam sahib ne farmaya kia ap daikh nahi rahe asman per kale badal chaye huwe hain. Is shaks ne kaha ya Noman in kale badlon ka dukan se kia lena dena ?

Imam e Azam ne farmaya kh jab badal gehre ho jate hain to charagh ki roshni tareeki kam karne ke liye kafi nahi hoti jis ki waja se gahak ko kapre ki quality ka pata nahi chalta aur os ko viraity ki pehchan nahi hoti. Me ne is liye dukan band ki kh mere pas ane wala ghahak kam qimat wale kapre ko qimati samajh kar ziada pase na dy.

Aj ke dukandar ke pass ja kar pata chalta hai kh jab in ke pass koi masoom gahak a jaye to woh os ko aesi qeanchi se zibah karte hain kh 2 number kapra bhi 1 number ki qimat par sale kar late hain. Balkh aj kal to gahak ko lootne ke nit naye tareeqe aye hain.

Saturday, August 13, 2016

14 August Wallpapers HD Collection

14 august wallpapers hd collection

14 august wallpapers hd
little baby with pakistan flag

14 august wallpapers hd
Independence day celebration at mizar e qaid karachi

14 august wallpapers hd
Pakistan

14 august wallpapers hd
Shades of Green Wallpaper

14 august wallpapers hd
man with balloons on 14th august

14 august wallpapers hd
Pakistan zindah baad

14 august wallpapers hd
Pakistan flag

14 august wallpapers hd
Pakistan Flag on lemon