Sunday, December 18, 2016
Tuesday, November 29, 2016
20 Most Beautiful Eid Milad Un Nabi Wallpapers HD
Free Download 12th Rabi ul awal Aand Eid milad un Nabi wallpapers HD
Tags: eid milad un nabi , milad un nabi, eid e milad, eid milad, eid e milad un nabi, eid milad un nabi naats, jashn e eid milad un nabi, milad lights, prophet muhammad birthday, id e milad, happy milad, eid miladun nabi, eid milad un nabi wallpapers, mawlid al nabi, mawlid, status for eid milad un nabi, maulid nabi, mawlid an nabi, birth day of the last prophet Muhammad saw.
Thursday, November 17, 2016
Wives Of Prophet Muhammad Saw Hazrat Zainab Binte Jahash R.A
???? ???? ??? ??? ??? ???? ????
(11) Hazrat Zainab Binte Jahash R.A
Bibi Zainab Binte Jahash r.a Qabeelah Banu Asad bin Khazeemah se ta'aluq rakhti thi, aur Rasool-Allah saw ki phoophi ki daughter thi, Ap r.a ki shadi pehle Zaid bin Harisa r.a se huwi thi, jinhe
Rasool-Allah saw ka beta samjha jata tha, lakin Hazrat Zaid r.a se nibah na ho saka aur unho ne talaq de di, Id'dat khatam hone ke baad Allah pak ne Rasool-Allah saw ko mukhatib karte huwe yeh ayat
nazil farmai.
(Surah Al Ahzab) " Jab Zaid r.a ne In se apni zaroorat khattam kar li to Hum ne Inhe Ap saw ki zojiat main de dia"
Ap r.a hi ke ta'aluq se Surah Ahzab main kae Ayat nazil huwi, jin main Le palak ke Qazeeye ka do tok faisla kar dia gaya, Bib Zainab r.a se Rasool-Allah saw ki shadi Zi.Qa'adah 5 Hijri main ya 4 Hijri mian huwi, Ap r.a sab aurton se zaida Ibadat guzar aur Sadqa karne wali khatoon thi, hazrat Zainab r.a ne 200 Hijri main wafat pai, is waqat ap r.a ki umar mubarak 53 saal thi, aur ap r.a Rasool-Allah saw ke baad pehli Biwi hain jin ka intiqal huwa, Hazrat Umar bin Khattab r.a ne Bibi Zainab r.a ke Janaza ki Namaz parhai aur Ap r.a ko Jannat al-Baqi mian dafan kia gaya.
Read This Also: Complete List Wives Of Prophet Muhammad Saw
Wives Of Prophet Muhammad Saw Hazrat Aisha Siddiqua R.A
???? ????? ??? ??? ??? ??? ???? ????
(10) Hazrat Aisha Siddiqua R.A
Bibi Aisha Siddiqa r.a Khalifa awal Hazrat Abu Bakr Siddique R.A Ki daughter hain, Ap r.a Hazoor saw ki sab se kam umar Bibi thi, Ayesha r.a se Nabi Pak saw ne Nabuwat ke 11wain saal Mahe Shawal main shadi ki, yani Bib Saudah r.a se shadi ke aik saal baad, aur
Hijrat se 2 baras 5 mah pehle, is waqat Aisha r.a ki umar 6 saal thi.
phir Hijrat ke 7 maah baad Shawal 1 Hijri main Ap r.a ko rukhsat kia gaya, is waqat Ap r.a ki umar 9 baras thi, aur Ap r.a baqrah thi, yani Kanwari thi, Ap r.a ke siwa kisi aur Baqirah aurat se Hazoor saw
ne shadi nahi ki, Hazrat Bibi Aisha r.a Hazoor saw ki sab se Mehboob biwi thi, aur Ummat ki aurton main sab se ziada Faqeeh aur sahibe Ilam thi, Ap saw ne farmaya Aurton per Aisha r.a ki fazeelat aesi hai jase tamam khano per Sureed ki fazeelat, Ammi Ayesha r.a ne 17 Sha'aban 17 ya 18 Hijri main wafat pai, aur Jannat al-Baqi mian dafan huwi.
Read This Also: Complete List Wives Of Prophet Muhammad Saw
Wednesday, November 16, 2016
Wives Of Prophet Muhammad Saw Hazrat Hafsa Binte Umar R.A
(9) Hazrat Hafsa Binte Umar R.A
Bibi Hafsa r.a Khalifa sani Hazrat Umar R.A Ki daughter hain, Ap r.a ke pehle shohar Khanees bin Khazafa Sahmi r.a the, jo Badar aur Ohad ke darmiani arsa main inteqal kar gaye, aur Ap r.a bewah ho gai, phir Rasool-Allah saw ne Ap r.a se shadi kar li, Hafsa r.a ki shadi 3 Hijri main huwi, Sha'aban 45 Hijri main 60 saal ki umar main Madinah main wafat pai, aur Jannat al-Baqi mian dafan huwi.
Read This Also: Complete List Wives Of Prophet Muhammad Saw
Wives Of Prophet Muhammad Saw Hazrat Umme Habibah (Ramlah) R.A
?? ????? ???? ??? ???????? ??? ???? ????
(8) Hazrat Umme Habibah (Ramlah) R.A
Bibi Umme Habibah r.a Ubaidullah bin Jahash ke aqad main thi, aur os ke sath Hijrat kar ke Habsha bhi gai thi, lakin Ubaidullah ne waha jane ke baad murtad ho kar Isai mazhab qabool kar lia tha, aur phir waheen mar gaya.
magar Umme Habibah r.a apne Deen aur apni Hijrat per qaim rahi, jab Rasool-Allah saw ne Muharram 7 Hijri main Umro bin Umaiah Zamri r.a ko apna khat de kar Nijashi ke paas bheja to Nijashi ko yeh paigham bhi bheja kh Umme Habibah se Ap saw ka nikah kar de, os ne Umme Habiabh r.a ki manzoori ke baad un se Ap saw ka nikah kar dia, aur Sharjeel bin Hasna ke saath inhe Ap saw ki khidmat main bhej dia, Nabi saw ne Khaiber se wapsi ke baad Umme Habibah r.a ki rukhsati karai, Ap r.a ne 43 ya 44 ya 50 Hijri main wafat pai.
Read This Also: Complete List Wives Of Prophet Muhammad Saw
Wives Of Prophet Muhammad Saw Maimoona Binte Haris Al-halalia R.A
???? ?????? ??? ?????? ???????? ??? ???? ????
(7) Hazrat Maimoona Binte Haris Al-halalia R.A
Bibi Maimoona r.a Ummul Fazal Lubaba binte Haris ki sister thi, in se Rasool saw ne Zee Qa'adah 7 Hijri main Umrahe Qaza se farigh hone.... aur sahih qol ke mutabiq Ehram se halal hone... ke baad
shadi ki, aur Makkah se 9 meel door maqame Sarf main inhe rukhsat karaya, 61 Hijri main ya 63 Hijri main waheen wafat bhi huwi, aur waheen dafan bhi ki gai, aur Bibi Mainmoona r.a ki Qabar mubarak ki jaga aaj bhi waha famous hai.
Read This Also: Complete List Wives Of Prophet Muhammad Saw
Wives Of Prophet Muhammad Saw Hazrat Javairiah Binte Haris R.A
???? ?????? ??? ?????? ??? ???? ????
(6) Hazrat Javairiah Binte Haris R.A
Bibi Javairiah r.a ke walid Qabeela Khaza'a ki shakh Banu Al Mustalaq ke sardar thee, hazrat Javairiah r.a Banu Al Mustalaq ke qaidiyon main lai gai thi, aur hazrat Sabit bin Qais bin Shamas r.a ke hisse main pari thi, unho ne hazrat Javairiah r.a se makatibat kar li, yani aik muqararah raqam ke iwaz azad kar dane ka ma'amla teh kar lia, is ke baad Rasool-Allah saw ne in ki taraf se muqararah raqam ada farma si aur in se shadi kar li, yeh Sha'aban 5 ya 6 Hijri ka waqia hai, is shadi ke nateeja main Musalmano ne Banu Al-Mustalaq ke 100 gharane azad kar diye, aur kaha kh yeh log Rasool-Allah saw ke susrali hain.
Chunancha Bibi Javairiah r.a apni qaom ke liye sari aurton se barh kar babarkat sabit huwi, Ap r.a ne Rabiul Awal 55 ya 56 Hijri main wafat pai, os waqat Ap r.a ki umar mubarak 65 baras thi.
Read This Also: Complete List Wives Of Prophet Muhammad Saw
Tuesday, November 15, 2016
Wives Of Prophet Muhammad Saw Hazrat Safia Binte Hae bin Akhtab R.A
???? ???? ??? ?? ?? ???? ??? ???? ????
(5) Hazrat Safia Binte Hae bin Akhtab R.A
Bibi Safia r.a Bani Isareel se thi, aur Khaibar main qaid ki gai, lakin Rasool-Allah saw ne inhe apne liye muntakhib farma lia, yeh Fateh Khaibar 7 Hijri ke baad ka waqia hai, is ke baad Khaibar se 12 meel ki doori per Madinah ke raste main Sad Sahba'a ke paas inhe rukhsat karaya, 50 Hijri main ya 52 Hijri main aur kaha jata hai 36 Hijri main wafat pai, aur Jannat al-Baqi main madfoon huwi.
Read This Also: Complete List Wives Of Prophet Muhammad Saw
Wives Of Prophet Muhammad Saw Hazrat Umme Salma (Hind) R.A
???? ?? ???? ??? ??? ???? ????
(4) Hazrat Umme Salma (Hind) R.ABibi Umme Salma ya Hind r.a Abu Salma r.a ke aqad main thi, Jamadi ul Aakhir 4 Hijri main Abu Salma r.a ka inteqal ho gaya, to un ke baad Shawal 4 Hijrimain Rasool-Allah saw ne in se shadi kar li, Faqiya tareen aur nihayat aqalmand Khatoon thi, 84 saal ki umar main, 59 Hijri main aur kaha jata kh 62 Hijri main wafat pai, aur Jannat al-Baqi main dafan ki gai.
Read This: Complete List Wives Of Prophet Muhammad Saw
Wives Of Prophet Muhammad Saw Hazrat Zainab Binte Khazeemah R.A
???? ???? ??? ????? ??? ???? ????
(3) Hazrat Zainab Binte Khazeema R.A
Bibi Zainab r.a qabila banu hilal bin aamir bin sanasa'a se ta'aluq rakhti hain, maskeeno per reham-o-murawat ke sabab in ka naam Ummul masakeen par gaya tha, hazrt Zainab r.a Abdullah bin Jahash r.a ke aqad main thai, woh jange Ohad mian shaheed ho gaye to Rasool-Allah saw ne 4 Hijri main in se shadi kar li.
magar sirf 3 maah ya 8 maah Rasool-Allah saw ki zojiat main reh kar Rabiul Aakhir ye Zee Qadah 4 Hijri main wafat pa gai, Nabi Pak saw ne in ki Namaze Janaza parhai, aur Inhain Jannat al-Baqi
main dafan kia.
Check This: Complete List Wives Of Prophet Muhammad Saw
Wives Of Prophet Muhammad Saw Hazrat saudah Binte Zama'a R.A
???? ???? ??? ???? ??? ???? ????
(02) Hazrat Saudah Binte Zama'a r.a se Rasoole Pak saw ne Hazrat Khadijah r.a ki wafat ke taqreeban aik maheena baad Nabuwat ke daswain saal maahe shawal main shadi ki,
Ap saw se pehle hazrat Saudah r.a apne chacha zaad bhai Sakran bin Umro ke nikah Aqad main thi, Aur woh in ko bewa chor kar inteqal kar gaye the, Hazrat Saudah r.a ki wafat Shawal 54 hijri main Hazrat Umar bin Khattab r.a ke dore khilafat main Madinah main huwi.
Wives Of Prophet Muhammad Saw Hazrat Khadijah R.A
???? ????? ??? ???? ?????
(01) Hazrat Muhammad saw ki pehli shadi Hazrat Khadijah r.a se huwi, shadi ke waqat Ap saw ki umar mubarak 25 saal, aur hazrat Khadijah r.a ki umar mubarak 40 saal thi, hazrat Khadijah r.a ki zindagi main Ap saw ne koi dosri shadi nahi ki, Hazoor saw ki baite hazrat Ibrahim r.a ke siwa tamam aulad hazrat Khadijah r.a ki batan se thi, larkon main se to koi zindah na bacha, lakin sahibzadiyan (girls) hayat rahi, in ke naam yeh hain.
- Hazrat Bibi Zainab r.a
- Hazrat Bibi Rukayia r.a
- Hazrat Bibi Umme Kulsoom r.a
- Hazrat Bibi Fatimah Zahra r.a
Bibi Zainab r.a ki shaadi Hijrat se pehle in ke phupi zaad bhai hazrat Abu al A'as bin Rabee se huwi, Bibi Rukayia aur Bibi Umme Kulassom r.a ki shadi aik aik kar ke 3rd Calif Hazrat Usman bin Affan r.a se huwi, Hazrat Bibi Fatimah r.a ki shadi jange Badar aur jange Ohad ke drmiyani arsa main un ke chacha zaad Hazrat Ali ibne Abi Talib r.a se huwi, aur un ke batan mubarak se Hazrat Hassan, Hussain r.a aur Bibi Zainab, Umme Kulsoom r.a paida huwe.
Hazrat Khadijah r.a se Ap saw ko intiha ki aqeedat aur muhabbat thi, Hazoor saw ka irshade paak he kh " Un se behter mujhe koi bivi nahi mili, kue kh unho ne Eman la kar os waqat mera saath dia jab kufar ne mujh per zulm o sitam ki had kar rakhi thi."
Most Beautiful Eid Milad Ul Nabi Wallpaper HD
Most beautifull Eid miladul Nabi saw wallpapers hd, free download 12 rabi ul awal wallpapers, best hd Miladul Nabi wallpapers, Sarkar ki aamad aamad hai, hazrat Muhammad saw birth day wallpapers, Hazoor saw ki aamad se sari dunya main ujala ho gaya, the lat Prophet of Allah, Muhammad saw the Prophet of Islam, the great Muhammad saw, bekason ka wali Muhammad Mustafa saw.
Monday, October 3, 2016
Muharram 2016 Wallpapers HD
Hadith About Umar Farooq R.A Urdu Text
????? ?????? ????? ?????? ??? ???? ???? ???? ???? ?????? ????
?????: ???? ?? ??? ??? ???? ??? ?? ???? ? ?? ?? ?? ?? ???? ? ???? ?? ??? ???
Hazrat Umar Farooq R.A Book PDF By Allama Zia ur Rahman
Free Download Hazrat Umar Farooq R.A Book Pdf By Allama Zia ur Rahman
This Urdu book "Hazrat Umar Farooq R.A book pdf is written by Allama Zia ur Rahman" this is the book about the life of the second Caliph of Islamic Umar bin Khattab R.A, you can discover the complete history and information about the life of the second khalifa Hazrat Umar Farooq r.a.
Relation Of Hazrat Umar R.A To Prophet Muhammad Saw
Relation Of Hazrat Umar R.A To Prophet Muhammad Saw
Hazrat Umar bin Khattab r.a ki baiti Hazoor saw ki zoja muhtarma hain, uani Ummul momineen hain, jin ka naam Sayedah Hafsa binte Umar bin Khattab R.A hai.
Hazrat Umar r.a ke dore khilafat main Hazrat Ali r.a ki baiti Sayeda Umme Kulsoom r.a jo kh Hazoor saw ki nawasi hain aur Sayedah Fatimah r.a ki baiti hain ke sath Sayeduna Umar r.a ka nikah huwa, jin ke batan mubarak se do bache huwe aik larka Zaid bin Umar r.a aur aik lariki Ruqiya binte Umar r.a. is tarah Ap r.a Hazoor saw ke Susar huwe aur Hazrat Ali r.a ke damad huwe.
Hazrat Umar bin Khattab r.a ki baiti Hazoor saw ki zoja muhtarma hain, uani Ummul momineen hain, jin ka naam Sayedah Hafsa binte Umar bin Khattab R.A hai.
Hazrat Umar r.a ke dore khilafat main Hazrat Ali r.a ki baiti Sayeda Umme Kulsoom r.a jo kh Hazoor saw ki nawasi hain aur Sayedah Fatimah r.a ki baiti hain ke sath Sayeduna Umar r.a ka nikah huwa, jin ke batan mubarak se do bache huwe aik larka Zaid bin Umar r.a aur aik lariki Ruqiya binte Umar r.a. is tarah Ap r.a Hazoor saw ke Susar huwe aur Hazrat Ali r.a ke damad huwe.
Tuesday, September 27, 2016
Difa Sahaba By Moulana Muhammad Adnan
Free Download Difa Sahaba By Moulana Muhammad Adnan
This urdu book "Difa Sahaba is written by Moulana Muhammad Adnan" in this book the author is talking about the life of Sahaba karam and defending there essence.
the main topics of this book are.
- Maqam e Sahaba Quran ki roshni main
- Maqam e Sahaba Ahadees ki roshni main
- Maqam e Sahaba Akabreen e ummat ki nazar main
- Difa e Sahaba kue zarori?
- Tanzeem Ahle sunnat aur Difa e Sahaba
Difa e Hazrat Muawiyah R.A By Maulana Qazi Mazhar Hussain
Free Download Difa e Hazrat Muawiyah R.A By Maulana Qazi Mazhar Hussain
This book "Difa e Hazrat Muawiyah R.A is written by Maulana Qazi Mazhar Hussain" this book is about the life of hazrat Ameer Muawiyah r.a the companion of the last prophet Muhmmad saw, the authorof the book is defending the personality of Ameer Muawiyah r.a and giving the answers to those who making objection on thessence of Ameer Muawiyah r.a.
The main topics of this book are below.
- Kharji fitna per Ulama ke tabsare
- Kia Ameer Muawiyah r.a ki khata anaadi thi?
- Hazrat Ameer Muawiyah r.a aur tamam Sahaba aadil hain
- Adalate Sahaba ke bare eham sawal
- Ameer Muawiyah r.a haqeeqatan baghi na thee
- hazrat Ameer Muawiyah r.a Mujtahid the
- Hazrat Ameer Muawiyah r.a aur Hazrat Ali r.a ke fazail
- Hazrat Hassan r.a ka Ameer Muawiyah r.a se wazefa lena
- Hazrat Ameer Muawiyah r.a Jannati hain (Ahadees ki roshni main)
- Sunni, Shia aur Kharji kon hain?
- Hazrat Ameer Muawiyah r.a ka Difa'a
Sunday, September 25, 2016
Free Download Batlan e Shia Mazhab By Maulana Abdul Shakoor Farooqi Lakhnawi
Free Download Batlan e Shia Mazhab By Maulana Abdul Shakoor Farooqi Lakhnawi
Free Download Ameer Muviah R.A Aur Tareekhi Haqaiq By Maulana Taqi Usmani Sahib
Ameer Muviah R.A Aur Tareekhi Haqaiq By Maulana Taqi Usmani Sahib
This Urdu book "Ameer Muviah R.A Aur Tareekhi Haqaiq is written by Maulana Taqi Usmani Sahib" this book is divided in to three parts by the author.
- Hazrat Muviah r.a Aur Khilafat o Malooqiat (hazrat Muviah r.a per etirazat ka ilmi jaiza)
- Hazrat Muviah r.a Aur Khilafat o Malooqiat (tarjuman al quran Lahore ke etirazat ka jawab)
- Hazrat Muviah r.a shakhsiat, kirdar aur karname (by Maulana Mehmood Ashraf Usmani)
Free Download Allah Ke Mujahid By Kittabghar
Free Download Allah Ke Mujahid By Kittabghar
Tuesday, September 6, 2016
20+ Most Beautiful Hajj 2016 Wallpapers HD
Subscribe to:
Posts (Atom)