Wednesday, June 7, 2017

Sahaba Karam r.a Ka Ishq e Rasool saw



Ishq e Rasool s.a.w.w. Ki Bunyad Itebaa e Rasool s.a.w.w. Per Hai

Sahabakaram r.a main yehi baat thi kh Ap saw ki aik aik sunnat per fida thee, Sarkar e do Aalam saw jumma ka khutba farma rahe the, kuch log kadhe huwe the, Ap saw ne in ke liye irshad farmaya (baith jao) hazrat Abdullah bin Masood r.a jin ke liye muhadis e azeem Mulla Ali qari rh ne (????? ??? ?????) mian likha hai ( Translation: Ap r.a Khulafaye e Rashideen r.a ke baad sab se afzal Sahabi thee).

"aur apni surat ke etibar se Sarwar e do Aalam saw ki shakal mubarak se bohat mushaba thee"

to Abdullah bin Masood r.a ne jese hi Hazoor saw ka irsha mubarak suna to waheen masjid ke darwaza per jooton main baith gaye, Hazoor saw ne inhe daikh lia aur farmaya Abdulla ibne Masood andar aa jao, Muhaddasin likhte hain yeh Abdullah bin Masood r.a ki intihai qadar aur nigah e Risalat saw main intihai shaan e mehboobiat ki alamat hai kh Ap saw ko gawarah nahi huwa kh Hazrat Abdullab bin Masood r.a jooton per baith jain, lakin Abdullah bin Masood r.a ki itebaa daikhye kh unho ne ager mager nahi lagaya, jo ager magar lagata hai woh aashiq nahi hota.

"Marzi teri har waqat jise paish e nazar hai
bas is ki zaban per na ager hai na mager hai"

Refernce: Adab e Ishq e Rasool By Hazrat Maulana Shah Hakeem Muhammad Akhtar

you can read and download this book online from the link below.

No comments:

Post a Comment