Sunday, September 27, 2015

100 Best Inspirational quotes In Urdu/Hindi

Inspirational Quotes Urdu
  1. Aik Danishwar Say Poocha Gaya Kh Ghusa Kiya Hai? 'Khoobsurat Jawab Mila Kh' :Kisi Ki Ghalti Ki Saza Khud Ko Dena;
  2. Apni Zaban Ko Kisi Kay Aybon Say Aaloodah Na Karo Kue Kh Ayeb Tumhary Bhi Hain Aur Zabanain Aur Logon Ki Bhi.
  3. Ap ka aik lafz zakham bhi laga sakta hai aur marham bhi ban sakta hai ikhtiyar ap kay pass hai
  4. Gunah ka aghaz makdi taar ki manend nazuk hota hai lakin anjam jahz kay rasay ki manend mazboot hota hai
  5. achay log bhains ki manend hain jo sookhi ghas kha kar bhi doodh daiti hai, jab kh buray log sanp ki tarah hain jo meetha doodh pi kar bhi das leta hai
  6. Aqalmad aur be waqoofon main kuch na kuch ayeb zaroor hota hai magar aqalmand apnay ko khud daikhta hai aur be-waqoofon ka ayeb dunya daikhthi hai
  7. Soorat baghair seerat kay aesa phool hai jis main kantay ziada hon aur khushbu bilkul na ho
  8. Jahan Roti mazdoor ki tankhawah say mehangi ho jaye wahan do jeezain sasti ho jati hain, 01- Aurat ki izzat 02- Mard ki ghairat
  9. Mehanti shaks kay samny pahad kankar hai aur kahil insan kay samny kankar pahad
  10. Zaban ka wazan bht hi halka hota hai magar bht kam log hi sanbhal patay hain.
  11. Zindagi ustad say ziada sakht hoti hai, Ustad sabaq day kar imtehan leta hai aur zindagi imtehan lay kar sabaq daiti hai.
  12. Ager Jannat main apni marzi ki zindagi guzarna chahtay ho to is dunya main apnay Rab ki marzi ki zindagi guzaro.
  13. Tauba ka khayal khush bakhti ki alamat hai, kue kh jo apnay gunah ko gunah na samjhe woh bad-qismat hai.
  14. ager tum rasta jantay ho to gumrah insan tumhari zima dari hai.
  15. Shak aik aesi bemari hai jo insan ka sakoon khattam kar daiti hai.
  16. Jo janay wale say ibrat hasil nahi karta, woh a'anay wale kay liye ibrat ban jata hai.
  17. Gunah ko phelanay ka zarya mat bano, kue kh ho sakta hai kh ap to tauba kar lo magar jis ko apnay gunah par lagaya hai Aakhirat main wo ap ki tabahi ka zarya ban jaye.
  18. Agar rasta khoobsurat hai to ma'aloom karo kh kis manzil ko jata hai, lakin ager manzil khoobsurat hai to rasta ki parwah na karo.
  19. Jahan izzat sachai aur khaloos nazar aye, wahan dosti ka hath badhao, warna tumhari tanhai tumhari behtreen sathi hai.
  20. Kisi ko achay amal say dili khushi dena hazar sajday karnay say behter hai.
  21. Khawab woh nahi hotay jo ap satay main daikhtay hain, balkh woh hain jo ap ko sanay nahi daty.
  22. Tum pani jesay bano jo apna rasta khud banata hai, pathar jesay na bano jo doosron ka rasta bhi rok leta hai.
  23. Apni soch badliye ap ki dunya badal jaye gi.
  24. Akhlaq aik dukan hai aur zaban is ka ta'ala, ta;ala khulta hai to maloom hota hai kh dukan sonay ki hai ya koylay ki.
  25. Badshahon ko sirf wohi naseehat kar sakta hai jis ko na sr ka khof ho na zar ki tamana.
  26. Buray doston say bacho aesa na ho kh woh tumhara ta'aruf ban jain.
  27. Sabar aik aesi sawari hai jo apnay sawar ko kabhi nahi girnay daiti, na kisi kay qadmon main na kisi ki nazron main.
  28. Jo doosron kay gham say la-ta'aluq hai woh A'admi kehlanay ka mustihaq nahi.
  29. Zindagi sada aur mukhtisar honi chahye, Warna qayamat kay din hisab main badi prashani ho gi.
  30. Jo koi 5 waqat ki namaz parhta hai wo Allah ki hifazat main hai, aur jis ki hifazat Allah karta hai, usay koi nuqsan nahi pohancha sakta.
  31. Bada insan woh hai jis ki mehfil main koi khud ko chota na samjhay.
  32. Aesh pasandi say bacho Allah kay banday Aesh pasand nahi hotay.
  33. Tu nafas ki tamana puri karnay main masroof hai aur woh tujhay barbad karnay main.
  34. Niyamat ka milna a'azmaish hai kh tum nay shukar ada kiya ya na shukari ki.
  35. Bad-gumani kashti kay andar qatrah qatrah rasta huwa wo pani hai, jo akhir kar kashti ko lay kar doobta hai.
  36. Badi ka moqa hotay huway, badi na karna bht badi naiki hai.
  37. Allah par tawakal yaqeen ki had tak karo.
  38. Jo shaks fazool umeedon par pada rehta hai os kay maqasid pooray nahi hotay.
  39. Kisi mushkil main kisi buzdil say mashwarah mat karna kue kh woh tumhari bachi huvi himat ko bhi khattam kar day ga.
  40. Kabhi koi faisla gusay main mat karna kue kh ubaltay huway pani main aks dikhai nahi deta.
  41. Insan pareshaniyon ki ginti ka mahir hai lakin niyamaton ka hisab karna bhool jata hai.
  42. Ma'af kar danay say insan ki apni rooh paak ho jati hai.
  43. Ager Chidyon main ittefaq ho jaye to woh shair ki khal utar sakti hain.
  44. Ager chahtay ho kh tumhara naam baqi rahay, to apnay bachon ko achay akhlaq sikhao.
  45. Woh shaks kamyab nahi ho sakta jis main nakami ka khof kamyabi ki chahat say ziada ho.
  46. Logon ki takleef main shareek na hona aur un say imdad ki umeed rakhna bht badi ghalti hai.
  47. Baap ka ehtiram karo ta'akh tumhari aulad tumhara ehtiram karay.
  48. Baap ka hukam mano takh khushal ho sako.
  49. Kisi insan ko dukh dena itna a'asan hai jitna samandar main pathar phenkna, mager yeh koi nahi janta kh woh pathar kitni main gaya hai.
  50. Acha insan woh hai jo kisi ka diya huwa dukh to bhula day mager kisi ki di huwi muhabbat kabhi na bhula sakay.

No comments:

Post a Comment