Companions of The Last Prophet Muhammad P.B.U.H (01) The Life of Hazrat Aban Bin Saeed Bin Alaas Radi Allahu Anhu
Name And Ancestry: Abaan naam' sisilai nasb ye hai' abaan bin saeed bin alaas bin umya bin shams bin abad manaf bin ksi bin kalab bin marah bin kalab bin marah bin kaab bin lavi al kuraishi al umvi' maa ka naam hind bint e maghirah tha'in ka silsilaye nasb pancwin pusht pr abad manaf pr hazrat sallallahu alaihi wasallam se mil jata hai .
Aban Bin Saeed r.a |
Forays: islam lany k bad hi hazrat sallallahu alaihi wasallam ny ik sarya ka ameer bana kr najad rawana kiya'whan se kamyab ho kr wapis hue to khyber fatah ho chuka tha.usi wakt hazrat abu huraira bhi mahajreen e habsh k sath wapis hue thy' dono ny arz ki ya rasulallah khyber ky mal e ghanimat se kuch hum logon ko bhi marhamat ho' un main or hazrat abu huraira main phly se kuch chasmak thi'unhon ny kaha ya rasulallah! in logon ko na dijye. abban ko gussa a gaya' boly. pahar ki bheri utri wo bhi boli! Hazrat muhammad sallallahu alaihi wasallam ny dono ko khamosh kiya. najad ki mohim k ilwa in ko dusry saryon ki amarat bhi ata ki gai.
Death: zmana e wafat main bohut ikhtilaf hai' baz rawayaton se maloom hota hai k hazrat abu bakr radi allahu anhu ky akhir ohda e khilafat main jang e ajnaden main shahadat paye' ibn e ishaq ki riwayat hai ky jang e yarmoq main shaheed hue' ek or riwayat se pata chalta hai ky hazrat usman razi allaho anha ky ohdy khilafat tak zinda thy' or mosahaf usmani us hi ki nigrani main hazrat zaid bin sabit razi allaho anha kaatib e wahi ny likha tha' lekin in sb main mustanad tar ajnaden ki shahadat ki riwayat hai' chunancha musab'zubair or dusry nisabon ka bhi yhi khyal hai.
Reference: Allah Kay Mujahid