Fizaon main Tawaf karne walon ki awazain goonj rahi thi, woh baithullaah ko Takbeer o ke iter se maatar kar rahe the aur un ki aankho se aansu selab ki tarah rawa the, achanak in bandagane Khuda ke peche aik baddu nazar aya jo qad ka lamba tha is ke shane choree the jawan tha os ne apne kandhe per apni maa ko uthaya huwa tha jo aik bari si tokri main chaharzano baithi thi aur baddu yeh ashaar parh raha tha.
" Main is ki sawari hu mujhe koi nagawari nahi jab kh sawari ka camle ghabra jata hai, mager me nahi ghabraya meri maa ne mujhe pait main uthaya aur mujhe doodh pilaya woh is se kaheen ziada hai, Labaik Allahuma Labaik....
Hazrat Ali r.a jo Baitullah ki aik janib Hazra Umar r.a ke sath khare the farmaya Aye Abu Hifz r.a chalo hum bhi tawaf karain takh hum sab per rehmat Khuda ka nazool ho chunancha woh dono is dehati ke peeche tawaf karne lage aur hazrat Ali r.a is baddu ko yu jawab dene lage.
"Ager tu is k saath naiki karta hai to Allah ka shukar ada kar Allah tujhe thore amal per ziada ajar dain ge..
Reference: Hazrat Umar-e-Farooq (R.A) Ke 100 Qissay